{Hook}...
Andhere kamron mein jalte diye the
Zarurt'on pe na mile woh kandhe (yeahh)
Maa kehti choth khayega hum andhe the sab andekha kare
Aur dua kare ke aqal mile... (2x)
{Verse}...
Zakhmon ke dher padhe hai
Zakhmon se farsho pe dher padhe hai
Zakhmon ke khel bade hai
Hum bachpan se zakhmon se khel bade hai
Zakhmon se mel bade hai , har mod pe mile sawer chadhe hai
Suna ameer badе hai , woh chandi ki chamach woh bail rakhe hai
Aur woh toh gulel rakhe hai, jo maarе nishane aur chodhe nishaan
Woh kehte ki thode nishan hai par aisa lage ki hathode ne chodhe nishaan
Aur thode nishaan zaruri the , aur thode nishaan majboori ke
Aur thode nishaan'on mein aashiqi , aur thode nishaan aehsas hai
Thode nishaan hai saamne par wahi mere sabse khaas hai
Thode nishaan'on ki baatein mein karna nahi chata hu kisi ke sath mein
Thode nishaan andhudi hai dabe padhe hai woh kisi khatan mein
Thode nishaano'on ne halat hai karke chodhi meri abhi halat hai
Thode nishaan hai taze jo kal parso hi mile hai haali filal mein
Par ye toh nishaan hai malik koi aur hai inke nahi kuch bhi hai hath mein
Jiske ye hath se mile hai chahun na usse milana mein hath ye
Aur tum toh nishaan ho tumse toh hoti rahegi ye mulakaat yea
MARKS (OUTRO) was written by Mark Bhatia.
MARKS (OUTRO) was produced by PINNOCIO.