Ali Saffudin & Aman Kumar Singh & Suyash Gabriel & Aveleon Giles Vaz
Ali Saffudin & Aman Kumar Singh & Suyash Gabriel & Aveleon Giles Vaz
Ali Saffudin & Aman Kumar Singh & Suyash Gabriel & Aveleon Giles Vaz
Ali Saffudin & Aman Singh Rathore & Suyash Gabriel & Aman Kumar Singh & Aveleon Giles Vaz
Ali Saffudin & Aman Singh Rathore & Suyash Gabriel & Aveleon Giles Vaz
Ali Saffudin & Aman Singh Rathore & Suyash Gabriel & Aveleon Giles Vaz
Ali Saffudin & Aman Singh Rathore & Suyash Gabriel & Aveleon Giles Vaz
Jinki Wajah Seh
Yeh Gulistan yeh viran hain Hua
Khilaf unke liye leke aya hu main yeh gaana
Apni awaz seh muqadma mein unpe chala ke
Sare aam unhe dene aya hu tana
Jinki Wajah Seh
Gulistan yeh viran hain
Hua khilaf
Unke liye leke aya hu main yeh gaana
Apni awaz seh muqadma mein unpe chala ke
Sare aam unhe dene aya hu tana
Unki Gaadhi bhi who khud nahi chalate
Hain chalate usse unke driver
Jis dete hain woh Paise Rishwat le kar
Rishwat le kar
Dekar unhе vot pachtaate aa rahe hain
Inke supportеr
Thokar khayenge, wo Ro kar Jayenege
Akhir ko jo do zakh mei bulaye jayenge
Tawareekh meh jo likhe jayenge unke naam
Takhto meh baithe bandar keh laye jayenge
Main jaha bhi jau
Dekhta hu yahi manzar
Khokle logo neh kiya is zameen ko banjar
Na koi hain rehbar
Na koi hain rehzan
Wothivo chelwo sereye yaro aur ha aai Oneton
Than Than Than
Yeh jo patharo ka shor hain
Yahi awaz meri qaum ka junoon hai
Par isi awaz meh kaiyo ne khoya sukoon hain
Woh dekho uski gaadi ka sheesha chakna choor hain
Woh dekho wo maa kitni majboor hai
PSA kha ke uska beta usse dooor hai
Choor hai , uski aankho mei tha
Jo sapna kaise chakna choor hai
Door hai , Manzil humse door
Be noor hai , dil humare be noor hai
Kyu ki chaav thi jaha pe kal
Aaj waha dhoop hai
Khoon jinne diya unhe gaye hum bhool hai
Apno ko hi hum jo neecha dikhaye
Dikhate hai hum humme kitne kam asool hai
Kitne gaye na jane kitne aur jae ge
Gintay hi rahe hai , gintay hi jaae ge
Akhbaro pe pad ke laasho ke number
Karke hartaal ab pohach kaha paae ge
Mujrim bhi mei , mujahid bhi mei
Muflis bhi mei aur maseeha bhi mei
Hai muj mei hi , jahalat bhari
Poocho to mei kaho mufasir bhi mei
Jissse ehl e haq ne lahoo se tha seecha
Us ujday chaman ka Maali bhi mei
Reet aur rivaaj se khaali bhi mei
Jo kuch na likhay wo siyahi bhi mei
Gaadiyo mei ghoomte hai ab yaha bhaydiye
Koi kya kahe ga kisi ko bhi aap chediye
Bigdi ye baat isse kon ab banae ga
Chaliye ab aap koi nayi baat chediye
Jinki Wajah Seh was written by Ali Saffudin.
Jinki Wajah Seh was produced by Engine-Earz.
Ali Saffudin released Jinki Wajah Seh on Fri Oct 21 2022.