[Verse]
Akela falak per zameen par utardo
Asaishein ziada hain azmaishein udhar do
Sohbatoun me bigarh gaya houn sudhar do
Bhai mjhe jeena hi nahi hai mjhe mardo
Nazarband ass pass dairey hain
Gaaney beat k bina faqat mushaire the
Kiya faut ho gae meri hamdardi kahein
Sab khatam kiya?
Ab kiya meri koi zindagi nahi?
Paise hain per shouk uski majboori hai
Maine khudme esi zindagi qabooli hai
Ab kamre me garhi ki jaga souli hai
Dafan krdia hai dil likhna zaroori hai
Sawal yeh! woh daghadar kiska tha?
Tum pochte ho akser k woh yaar kiska tha
Mukar gaya woh aein waqt per akay
Kese kahoun me tumhe?
Me tarafdaar kiska tha
Ashkoun ka darya samandar hogya
Khush haal tha yeh dil bohat ab khandar hogya
Woh toh aya nahi palat k dobara phr kabhi
Me ziddi tha varha uski qabar pey so gya
Baap ko milne jata tha me hawalatoun mein
Kyun jhoot bolun nahi guzari raatein faaqoun mein
Bachpan gum gaya hai ilm k khazanoun mein
Smjh ab jawani bhi dе chuka kala aur gaano mein
Fatahaein laazmi ho chuki hein humе ghaznavi kahein
Pora sheher janta hai phir bhi ajnabi rahe
Hum jaun k mizaaj k hein sahab smjha toh karo
Khafa ho kr chal parhe? Ya phir adsurdgi sahein?
Hum karhwa bolte hain zeher khana seekhlein
Music haram? Khuda se kitne qareeb hain
Shan brha betha unki jo mere hareef the
Inka honsla brhado yeh mere hareef hain
Mein shaheen mjhe gino nahi aqaabo mein
Bedharak kharhe hoye inte azaaboun mein
Chordi parhai hunar laga haathoun mein
Idher ghulami bikti kaghaz k lifafoun mein
Industry side kre jese hum mein kantein houn
Kaam bolta hai hum nahi link banate bro
Me against world inko beef chahiye dhub
40 bars one go mein, chahiye nahi buz
No...........No.........
Picture Me was written by JANI.
Picture Me was produced by Umair.
JANI released Picture Me on Sat Sep 16 2023.