[Verse 1 : Anaaz]
Sunte hain kaafi mujhay par
Hum tere hi banay phireingay sitaray
Gilay na rakho ye kalam na rokay
Beshak chahe chor ao kinaray
Chand tha mera mein banjaoun sooraj
Tere liye hum dono sitaray
Yaar tere waqif mein banda hi alag
Un saaroun k sehta tha khatir
Tere
Banjata jo bhi tu chahti kehlate hum tere
Baby
I wish i could blame you but it's just the city
[Chorus : Anaaz]
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
Feels like home when you're gone
Ye kesa rabta
Feels like home when you're gonе
Ye kesa fasla
Feels like homе when you're gone
Ye kesa fasla
[Verse 2 : JANI]
Kuch haqeeqat nahi kiya sab ye khwab hain
Kiya tham gaya hai waqt tu azaad hai
Kiya ab tere zulm se nijaat hai?
Tum or hum is jahan k laik kahan thay
Me likhta or gaata rehta houn
Me teri us gali bhi ata rehta houn
Tu kese smjhegi udaasi meri
Me tou takleefoun me bhi hansata rehta houn
Tu saatho asmano per mera tha
Ab dil k zamane badal gae
Qismat ne bazi palat di hai
Hum isi jahan me bichar gae
Hum chlte chle gae k ab toh awaz de
Par tu pukare bhi na
Humne toh kat di hai
Jese tese koi dosra guzare bhi na
Tum toh sunte ho mjhe mein kuch bhi nahi houn tumhare bina
Unchai ka dar hi nahi dala is dil me khuda k ishare bina
Yeh qismat ya waqt ki adaein hain
Darya dilli py dhokein jo khae hain
Namumkin jesa toh yaha kuch bhi nahi hai
Isi music se paise kamae hain na
[Chorus : Anaaz]
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
Feels like home when you're gone
Ye kesa rabta
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
[Verse 3 : JANI]
Ab tu sunti rahegi ya kuch toh kahegi
Me matlabi houn ya tu farebi
Me khud bhi toh nahi houn apne hi bas mein
Kiya kiya keh deta houn ghusse mein me bhi
Khamiyan ban gae hain khoobiyan
Faasle hi ban gae majbooriyan
Ese qismat ne passey palat diye
Ab woh qurbatein ban gaein ab dooriyan
Suma hai maut se darti ho, lag jae meri umer bhi tumhe
Khudko tabah kar dia hai
Maan bhar gya ho jese is zindagi se
Kahein kufr na kr bethein hum ab bhagein teri is dillagi se
Me jis sheher ka houn jana log hanste hain meri afsurdagi pey
Mere ass pass log bohot hain
Mujhe kami nahi pyar ki
Par ab esa bhi nahi k yaad nahi ati hai roothe hoye yaar ki
Rujhe manaein bhi bhala kese
Wazahat nahi sunta ek bar bhi
Baazar ki khasiyat yahi k mohabatein nahi milti hein udhaar ki
Yeah, yeah
[Chorus : Anaaz]
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
Feels like home when you're gone
Ye kesa rabta
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
Feels like home when you're gone
Ye kesa fasla
Feels Like Home was produced by superdupersultan & Jokhay.
JANI released Feels Like Home on Sat Sep 16 2023.