Naaz Hai by Epr Iyer
Naaz Hai by Epr Iyer

Naaz Hai

Epr Iyer * Track #3 On Protest Poetry

Naaz Hai Lyrics

[Verse 1]
Dus saal ki ranjish
Ye khunnas 29 march 2019
Daftar men pehli martaba
Punjab ke chandigarh ke paas kharad men
Tainat adhikari neha shohree
6 Saal ki bhatiji ke saaath
Samai bita kahaniya suna rahi
Ki achanank ek shaksh us waqt andar
Morinda ka vasi balwinder
Nashilli dawaion ka business
Chapemari aksar nikalta bachkar
Par neha ke wajah se license hua radd
Aur ab pistol men hath
Trigger pe ungli
Zigar pe yun teen nikalke yu cheer
Zameen pe Ek veer wohi pe wo shaheed
Saasen apni antim Chod
Hatyare ka aakrosh hai afos ki is kathor
Zindagi ko tune imandari se jee aur gawaya
Sabke mafiq chup na reheker
Drugs mafia ke upar apna awaaz uthaya
Zayaz hai ki
Nyaypath pe chalte logon ko anyay na daba Saka Sahasi tu aisi maut ke moo aakar bhi
Na jhuka tera sir humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai

[Chorus]
Naaz hai
Humko sab ko tujhpе naaz hai
Tere balidan pe is dеsh ka salaam hai
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai

[Verse 2]
Sitambar Paanch raat do shunya 17
Office se waapis Ek patrakar
Sampadak lankesh patrika
Hamlavar do bike pe savar
Pachpan ki gauri uski awaaz
Dakshinpankti ke shaktiyon ke khilaugh
Sahityik nirbhikta aur insaaf
Dharmic kattarta ke khulase men
Paanch Saal se nishane men
Sangathon ne Rachi Sagish ye
Vaaqif the na sirf kalam ko kuchalna par
Hindutva virodhi gauri ki jaan ko lena
Anjam ye dena udharan banana ki ainda
Harqaten aisi na koi karega
Par kare toh kutte ki maut marega
Rakam tera hazaar, Parshuram wagmare
Shadayantrakaari engineer amol kale
Hatyaar Ek Jisne qatl e am dabholkar ki
Usi ka istemaal, Kalburgi ki bhi pran li
Usiki goliyan ne aar par apne ghar pe paas
Chaar dagey laga teen Gauri ko maut ke ghaat
Uttara Jaan le vichar bullet proof hai
Tere kalam ko desh ka saalam hume guroor hai

[Chorus]
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai
Naaz hai
Humko sab ko tujhpe naaz hai
Tere balidan pe is desh ka salaam hai

Naaz Hai Q&A

Who wrote Naaz Hai's ?

Naaz Hai was written by Epr Iyer.

Who produced Naaz Hai's ?

Naaz Hai was produced by GJ STORM.

When did Epr Iyer release Naaz Hai?

Epr Iyer released Naaz Hai on Thu Jun 06 2019.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com