Chiryan da Chamba by Suraiya Khanum (Ft. Anwar Maqsood)
Chiryan da Chamba by Suraiya Khanum (Ft. Anwar Maqsood)

Chiryan da Chamba

Suraiya Khanum & Anwar Maqsood * Track #7 On Coke Studio Season 8

Download "Chiryan da Chamba"

Chiryan da Chamba by Suraiya Khanum (Ft. Anwar Maqsood)

Release Date
Sat Aug 22 2015
Performed by
Suraiya KhanumAnwar Maqsood
Produced by
Strings
Writed by
About

‘Chirya Da Chamba’ is the subtle beginning of the perfect soundscape where less is more. Suraiya Khanum’s exceptionally moving vocals add on to the earthy sound of the matka, a repetitive cycle of the piano and the guitar creating a seamless transition into a poem recital by Anwar Maqsood. The heart...

Read more ⇣

Chiryan da Chamba Lyrics

Saada chiryaan da chamba ve baabula ve
Saada chiryaan da chamba ve baabula
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba ve baabula
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba ve baabula
Saada chiryaan da chamba

Baaba ji
Aap ka khatt mila
Yoon laga mere ghar se koyi aa gaya
Aap ka khatt mere haath mein hai
Aisa lag raha hai aap mera haath pakre hue hain
Chhorna naheen
Do din se yahaan baarishen ho rahi hain
Aur main ghar mein baiṭhi hui hoon
Apne ghar mein baarish mein kitna nahaati thi
Amma daandti thi mujhe aur mazah aata tha
Aasmaan ki taraf dekh ke kahti thi
Allah saahab, aur baarish bhejo
Yaad hai abba ji, ek din bohat baarish ho rahi thi
Aap ko mujhe skool chhorna tha
Kih saaikal ke pahiyye ki hawa nikal gayi
Wo main ne nikaali thi
Skool naheen gai aur baarish mein nahaati rahi
Bhaai hameshah mujh se lar kar
Mujhe ghar mein le jaata tha
Aur main roti hui aa kar aap se lipaṭ jaaya karti thi

Baaba ji
Yahaan koyi mujh se larta hi naheen
Bohat khaamoshi hai
Main to aap ki laadli thi
Phir mujhe itni door kyoon bhej diya
Amma kaisi hai
Kis ko daanṭti hai
Chiryon se baaten kaun karta hai
Bakriyon ko chaara kaun daalta hai
Tumhaari pagri mein kalaf kaun lagaata hai
Bohat kuchh likhna chaahti hoon baabu ji
Likkha naheen ja raha
Tum sab bohat yaad aate ho

Tumhaari laadli
Baiṭhi janj booha mal ke
Baiṭhi janj booha mal ke
Hona main pardesan bhalke
Ghar diyaan kunjiyaan saambh le maaen ni toon
Ghar diyaan kunjiyaan saambh le maaen
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba

Baaba ji naaraaz ho
Agar naheen ho to phir apni laadli ko khatt kyoon naheen likkha
Bohat saari baaten tumhen bataani hain
Amma se kahne apni hari chaadar taalaash karna chhor de
Wo main ne chupke se apne bakse mein rakh li
Jab amma ki yaad aati hai, main wo chaadar soongh leti hoon
Aur yoon lagta hai main amma ki baanhon mein hoon
Tum ne jo qalam bhaai ke paas hone pe us ko diya tha
Wo bhi main le aayi
Ab bhaai qalam dhoonde ga to mujhe yaad kare ga
Tumhaari ṭooṭi hui ‘ainak bhi apne saath le aayi
Saara din sheeshe jorne ki koshish karti rahti hoon
Aur tum saamne baiṭhe rahte ho

Baaba ji inhi baaton se to mera dil kaṭ jaata hai
Baaba ji kal raat main ne ik khaab dekha
Tum amma bhaai sahn mein baiṭhe bohat khush nazar aaye
Magar main udaas ho gayi
Aam ke per pe jo mera jhoola tha naan wo kaheen nazar naheen aaya
Tum logon ne aisa kyoon kiya
Use dalwa do
Main apne usi jhoole par baiṭhti hoon
Aur kacche aam tor ke khaane lagti hoon
Tum ne achchha naheen kiya baaba ji
Tumhaari laadli

Ambri baabal veer paye takde
Ambri baabal veer paye takde
Likhiyaan noon oh mor na sakde
Ṭuṭṭ gaye saare ajj maan mere
Ṭuṭṭ gaye saare ajj maan we
Asaan udd jaana
Asaan udd jaana
Saada chiryaan da chamba ve baabula ve
Saada chiryaan da chamba
Chiryaan da chamba
Chiryaan da chamba
Chiryaan da chamba
Chiryaan da chamba

Chiryan da Chamba Q&A

Who produced Chiryan da Chamba's ?

Chiryan da Chamba was produced by Strings.

When did Suraiya Khanum release Chiryan da Chamba?

Suraiya Khanum released Chiryan da Chamba on Sat Aug 22 2015.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com