Zinda Laashein by Gravity
Zinda Laashein by Gravity

Zinda Laashein

Gravity * Track #5 On Prashna Chinha

Zinda Laashein Lyrics

[Intro]
Kar jo bhi karna tujhko zimmedaari hai yeh meri
Nahi tu saath hai mere, lagti kyu hai raat andheri?
Nahi hai saazishen, fir bhi kyu hai saasein gehri?

[Verse: GRAVITY]
Kar jo bhi karna tujhko zimmedaari hai yeh meri
Kar jo bhi karna tujhko ikhtiyaari hai yeh behri
Kar saari baatein mujhse itmenani hai yeh gehri
Kitne mukhautein, jhoothe vaadon par tune pehni, thi
Toh kya iss pyaar ko jaladu mai?
Seh raha khanjar tere peeth mai chhupake mai
Kiya jo tune, pehli maafi bhi kya kam thi?
Pyaar bhi hua tujhse kyuki tu besharam thi
Woh saari baatein chhod, kya yeh karna zaroori tha?
Apni hi soch se banati tu majburiyan
Zinda hu dekh tere paap hi hu dho raha mai
Samne hu baitha tere kabra ke aur ro raha mai

[Hook]
Ha, kitni yaha hai zinda laashein
Pyaar mai hai yeh dhokha khaate
Fir bhi hai zinda marte jaate
Hai gunjti ab bas aawazein

[Verse: GRAVITY]
Naam uska tha Bahaara
Thhi woh mera sitara
Tha usko puri shiddat se sawaara
Uska hamesha mai sahara
Chidh jaati jab bhi kehta mai Bahaara bahar aa, huh
Baatein kaise ho jaati fisool hai
Dhokhe milne pyaar mai yeh toh usool hai
Kya yeh manzoor hai, mai jiyu uske diye dard aur shikwo ke saath?
Qubool hai

[Hook]
Uh, kitni yaha hai zinda laashein
Pyaar mai hai yeh dhokhe khaate
Fir bhi hai zinda marte jaate
Hai gunjti ab bas aawazein

[Outro: Fade]
Ha, kitni yaha hai zinda laashein
Pyaar mai hai yeh dhokha khaate
Fir bhi hai zinda marte jaate
Hai gunjti ab bas aawa....

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com