There comes a time in everyone’s life, when we start questioning the very idea of our “Wajood” (existence). Our mind starts going around the endless loops of asking WHYs for every single thing happening in our life. These train of thoughts either take us to a very dark and lonely place or end up giv...
[Verse 1]
Dino se kuch sawaal uth rahe wazood pe
Soch ghumshuda kya sach yahan kya jhooth hai
Guilt ne hai ghera kehta kaisa khoon hai
Tu kar rha hai aish kitne ban gye hai ash dekh
Khyaal tabse aisa kar baitha basera
Chhup gyi hai roshni kyu hi dikhta bus andhera
Laut laane ko khushi ka kaaran maangta hai chehra
Dukh nhi hai koi fir bhi ghaav kyu hai ghera
Ab kya batau kaisi kashmakash chali hai
Kashti chalti to hai jaari par manzil kuch nhi hai
Doob bhi gya to kya farak doobte kayi hai
Haqeeqat bus yahi tera kuch wajood nhi hai
Kiya hai aisa kya jo kaam aaya aauron ke
Asar hua ho aisa khushiyan de gya ho sorrow mein
Sochta tha main bhi hero banna jaise zorro main
Bus baatein badhi kar shaamil ho gya lutero mein
[Hook]
Maqsad ab pooche hai mastak
Pustak bhi padh li par hai shaq
Dastak hai dete ye shabd
Lastak na likh paata muktak
Mukh tak haan rukh jaati baatein
Sochu main sab kuch bhula ke
Karne kya aaya jahan mein
Goom hu na dikhti hai raahein
Maqsad ab pooche hai mastak
Pustak bhi padh li par hai shaq
Dastak hai dete ye shabd
Lastak na likh paata muktak
Mukh tak haan rukh jaati baatein
Sochu main sab kuch bhula ke
Karne kya aaya jahan mein
Goom hu na dikhti hai raahеin
[Verse 2]
Shak hai shanka hoti sharminda khudi par
Shakhsiyat shati hui shatru bhi hai baitha bheetar
Shikaar sheesha kar gya shah mat di ussi pal
Shabd shaant sharmsaar gir gye jameen par
Kadva sach main bhi dogula samaaj sa
Laga mukhauta ghumta na main bhi koi khaas na
Nishkaam na niswarth na fir gyaan kya hi kaam ka
Kahan dafn ho gyi wo jo aag chahti jaagna
[Bridge]
Umeed hai khtm ya bus bura ye waqt hai
Ye sach ka saamna ya khamiyon ka darsh hai
Main ladna chahta aakhir zindagi sangharsh hai
Par baajuеin na utni jitna dikh rha yahan kasht hai
Karmo pe sawaal kya kar rha enough main
Seedhe na jawaab peechida saara stuff ye
Kya saara dosh mera bojh lena galt ye?
Spasht kuch hai nhi ye tark saare vyarth hai
[Hook]
Maqsad ab pooche hai mastak
Pustak bhi padh li par hai shaq
Dastak hai dete ye shabd
Lastak na likh paata muktak
Mukh tak haan rukh jaati baatein
Sochu main sab kuch bhula ke
Karne kya aaya jahan mein
Goom hu na dikhti hai raahein
Maqsad ab pooche hai mastak
Pustak bhi padh li par hai shaq
Dastak hai dete ye shabd
Lastak na likh paata muktak
Mukh tak haan rukh jaati baatein
Sochu main sab kuch bhula ke
Karne kya aaya jahan mein
Goom hu na dikhti hai raahein
Wajood was written by XR (Rapper).
Wajood was produced by Falak.
XR (Rapper) released Wajood on Sun May 30 2021.