VN3 (UDAAN) talks about the willingness to break free and take the leap of faith when certain opportunities present themselves and rise above, at times of self doubt. The life of an artist is always unsatisfied unless you find the happiness from within. Udaan talks about having the courage to take...
Udne
Udne de aaj
Udne
Udne de aaj
Ye sitaaro se hai dushmani
Ki jitna upar mein dekhu hota na khush kabhi
Aur jabhi likhne baitha jaana ki mein khush kavi
Ke mooh pe muskurahatein par likhta hu mein dard sahi
Kyu?
Mein toh darta hu madad se hi
Mein jabse likhu zindagi
Wo dekhe bas ajab se hi
Ke le na le gaano mein naam
Kyu ki jab jadein itna gehri kaise roke toofaan?
Tumne jab kheecha zameen pe uda baadalon mein
Hoti hai kaabilon mein ginti naaki kaafiron mein
Mujhe toh kal ka pata ni, wo musaafir hu mein
Kamayabi maange mere aaj toh shaayad pairon mein jaa giru mеin
Jeete jaagte jaageer hai banaana
Kaagaz ke peechе poora chheerke zamaana
Jurm wo karte na bhare jurmaana
Inki jhoot ki ravaani pakde toh wo ravaana
Tabhi mein baitha aasmaan mein
Vartamaan mein kuchh galat nahi
Haan dekha mein aazmaan ke tabhi
Sab samaan lage kuchh alag nahi
Milenge par mere sapnon ko
Par na lagega kabhi par mere sapnon ke baad kabhi
Ye gaane nahi zindagi ke pal, mujhe hona hai amar, taaki aaunga mein Yaad kabhi
Udne
Udne de aaj
Udne
Udne de aaj
Udne
Udne de aaj
(Mujhe udne de, mujhe udne de, mujhe udne)
Udne
Udne de aaj
(Aazma le mujhe, aasmaan de mujhe, aazma le mujhe)
Diya mujhe dhoka
Mere mudne pe
Feka mujhe neeche gira ghutne pe
Kaatein mere pankh;
Roka udne se
Chalna seekha firse
Kal hum udlenge
Mein jeeta yaha roz kabhi “kaash” pe nai
Bina sapnon farak na hai laash mein koi
Wo tooti mere saamne haan kaanch si royi
Kehte mere kaano mein tere saath na koi
Toh jaake ud
VN3 (UDAAN) was written by Yashraj.
VN3 (UDAAN) was produced by Manïn (IND).
Yashraj & Dropped Out released VN3 (UDAAN) on Fri Aug 06 2021.