Two of Us by Jokhay, JANI & Shareh
Two of Us by Jokhay, JANI & Shareh

Two of Us

Jokhay

The music player is only available for users with at least 1,000 points.

Download "Two of Us"

Two of Us by Jokhay, JANI & Shareh

Release Date
Sun Sep 21 2025
Performed by
Jokhay
Produced by
Jokhay
Writed by
JANI & Shareh

Two of Us Lyrics

[Verse 1: Shareh]
Ab aate bhi ho tum, tou hoti naa saza
Kyun meri yeh khatam, yeh kaisi hai wabaa?
Kyun bharte naa zakham, kyun milti nahi dawa?
Kyun karti yeh sitam, kya aata hai maza?
Kya bataayein tum ko, tum sunte hi nahi ho, kya sunaayein?
Aksar yeh baatein yaad karun tou dil dukhaayein
Sab ho chuka hai khatam, dil ko kya behlaayein?
Tujhko bulaayein?
Sun le tu jaan-e-jaana
Mein paa chuka sabhi kuch, bas tu nahi mili
Kuch khwahishein meri laa-haasil hi rahin
Yeh kaisi bebasi jo tu ne de rakhi
Bas saansein chal rahin, mein mar chuka hoon yoon

[Pre-Chorus: Shareh]
Tu koi awaaz de
Ya mein aahat sunun
Nahi aasaan ke tum naa milo
Ya phir hum naa milein mustaqil

[Chorus: JANI]
Mohallay daaron se, poochein ghar walon se
Bataa do hogi kab subha? (Subha)
Karwat diwaaron se, kharay angaaron pe
Neendon se karte hum difaa
Woh jaagi rahay
Mein jaaga rahun (Jaaga rahun)
Woh jaagi rahay (Woh jaagi rahay)
Mein jaaga rahun (Mein jaaga rahun)

[Verse 2: JANI]
Tumhein khauf-e-Khuda, kabhi koi khauf nahi
Mujhe larhne ka tumse ab koi shoq nahi
Tum par mera koi roub nahi
Tumhein khudki pari hai, mera koi hosh nahi
And we living on the edge, bara konay pe
Bari raaton ka jaaga hoon, sonay de
Aur tum khud mukhtaar bhi ho thoray se
Agar sargoshi hai tou honay de
Jo tootay hi naa, aisa rishta bana
Mujhe apne dil ka ek hissa bana
Par mujhse naa rakh tu tawaqqaein saari
Mein insaan hoon, naa farishta bana
Tumhein tumse bhi zyaada chaahay tou jaanam
Woh jeenay ki chaahat tou chhor hi de
Aur woh kafan tou taqreeban orh hi le
Saari adhoori wasiyatein khol hi le
Aur jo keh naa sakun tu woh bol hi de
Humein chahiyen fursat may thori dair
Phir bhalay litaa kar tu taboot may thok de aakhri keel hathori se
Saari chaahatein hogayin hain maliya-mait
Phirse jeenay ka ek aur zariya dekh
Tujhe behna hai lehron may, darya dekh
Betha le kar kinaaray par faryaadein mein

[Pre-Chorus: Shareh]
Tu koi awaaz de
Ya mein aahat sunun
Nahi aasaan ke tum naa milo
Ya phir hum naa milein mustaqil

[Chorus: JANI]
Mohallay daaron se, poochein ghar walon se
Bataa do hogi kab subha? (Subha)
Karwat diwaaron se, kharay angaaron pe
Neendon se karte hum difaa
Woh jaagi rahay
Mein jaaga rahun (Jaaga rahun)
Woh jaagi rahay (Woh jaagi rahay)
Mein jaaga rahun (Mein jaaga rahun)

Two of Us Q&A

Who wrote Two of Us's ?

Two of Us was written by JANI & Shareh.

Who produced Two of Us's ?

Two of Us was produced by Jokhay.

When did Jokhay release Two of Us?

Jokhay released Two of Us on Sun Sep 21 2025.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com