A small take to throw light on the plight of farmers in India.
Situation of farmers is declining every day and somewhere we are also responsible for that. It’s high time that we wake up and take a step forward in helping them out
[Verse 1]
Main zubaan bezubaan ki
Uss mehnti insaan ki
Gareeb kisaan ki
Jiski ki ek pehchaan
Jo ghum ho gyi kayi
Jo dikhti thi kabhi khet mein
Aaj latki hai wo ped pe
Kaun zimedaar hai?
Aap? main? sarkaar ye?
Sab hi bhaagi daar hai
Wo pet auro ka bhar rha
Par khudkhushi se mar rha
Kya profit ho gya hai ek keemati insaan se
Poochta sawaal main ye aapse bhagwan se
Rahe halaat ye to naa bachenge ye kisaan re
Fir baithna aur sochna ki khaaye kya insaan ye
[Bridge]
Fir baithna aur sochna ki khaaye kya insaan ye
Marra tha khud-khushi se ya hatyaara insaan ye
Marra tha khud-khushi se ya hatyaara insaan ye
Traahi Maam, Traahi Maam!
[Verse 2]
Tu baitha ACio mast burger pizze kha rha
Wo tadpe garmiyo mein, kya hi uske hisse aa rha
Gawaa raha wo zindagi anjaan ke liye
Par milte na gawaa khud ke insaaf ke liye
Mann kare hai uska bhi ki bache uske padh ske
Mann kare hai uska bhi ki mushkare hass ske
Bhar ske wo pet baithe bhooke parivaar ka
Majbooriya hai jyada, wo reh gya kuch lachaar sa
Mehnati hai bohot par na sub hai uske haath mein
Sahe wo maar sookhe aur lade jal sailaab se
Jo maange haq shaanti se to sunte na yahe pe ye
Aa jaaye sadko pe to chillate janaab ye
Mauka uske paas to fir chhod de wo kaam sab
Chale pade sab shehar ko sunsaan fir gaaon sab
Khaali pet tera jab ann ko naa hi paayega
Traahi maam traahi maam traahi maam chilayega
[Outro]
Traahi maam traahi maam traahi maam chilayega
Traahi maam traahi maam traahi maam chilayega
Traahi maam traahi maam traahi maam chilayega
Traahi maam traahi maam traahi maam chilayega
Fir poochta sawaal main ye aapse bhagwan se
Rahe halaat ye to naa bachenge ye kisaan re
Fir baithna aur sochna ki khaaye kya insaan ye
Fir baithna aur sochna ki khaaye kya insaan ye
Marra tha khud-khushi se ya hatyaara insaan ye
Marra tha khud-khushi se ya hatyaara insaan ye
Marra tha khud-khushi se ya hatyaara insaan ye
Traahi Maam was written by XR (Rapper).
Traahi Maam was produced by Ink Heart.
XR (Rapper) released Traahi Maam on Thu Oct 31 2019.