[Chorus]
Ham jaa rahe
Ye aasron ke dar pe ham kyun?
Ham taaray
Ye raaton me hi kyun ham chamkain
[Verse 1]
Shikway
Mujhe kitne hi sab se
Ye jumlay
Rakhun dur me rab se
Ke sun le na wo kahin dunya ki haalat
Mayoos khudai ki tu karle kafaalat
Jahaalat ke aalam hain
Tangay we saadiq aur hans rahe munaafiq
Me jaun kahan pe?
Mujh me bachi koi sharm o hayaa nahi
Bhai dafnaa ke ham shoot pe ja rahe
Maazi ki laash pe ham juway laga rahe
Ham ghazi aur qazi ko phansi charha rahe
Me apne tabood ke pese bacha raha
Me mic pe khaaliq ko shikway suna raha
Me mitti ke dheron pe katbay laga raha
Me gheron ki laashon ko apna bata raha
Me guzray huway kal ke gunaah jhutla raha
Me haq ki sadaaon pe jhoomay hi ja raha
Me kehta
Jaane do na
Mujhe aake khoklon ki misaalain do na
Mujhe chahiye nai tera ye pesa sona
Is ghoron ki dor me nahi mujhe shaamil hona
Mujhe chor do sakoon me ke sar pe fatoor
Mere ghar se me door mera dil majboor
Mere aas paas bhagta ye sara zamaana
Mujhe jaltay huway koilon pe chaltay jaana
Mere apne gunahon ka me bhar kafaaara
Me zameen ke seene me sonay jaa raha
Mujhe dunya me chalne ka dhang nai aata
Mujhe apna hi dil be rang sataata
Mujhe bolte hain jese mujhe fun nai aata
Me to jaibon me apna kaffan phiraata
Raakh sona
Mera raaz khol na
Maazi tatolna
Mere aeyb bol na ab
[Chorus]
Ham jaa rahe
Ye aasron ke dar pe ham kyun?
Ham taaray
Ye raaton me hi kyun ham chamkain
[Verse 2]
Murday jo garhay we tum rakh do baahir
Nahi bola wohi me jo tumhe dikhay bazaahir
Ye gol daaira
Is se bahir aa
Harf e ghaib ka kar mushaaira
Apne hi chehray ke tu cheer makhotay
Ham toofaan ke jese ab tu khol jharoke
Saari kainaat hame deti dhokay
Par apna qasoor ke ham dete moqay
Mujhe apne roke mujhe rokay gher
Me to chal diya baadal pe rakh ke pair
Chaiye nai rehbar me to raah pe gaamzan
Mere khwaab mujhe loot’te yahan banke raahzan
Me to khaak ka putla par dhool nahi chaat’ta
Me to jo bhi kamaata wo me sab me bant’ta
Dharkanain hain dheemi mujhe shor nahi chaiye
Mere zehen ki majlis me tashreef laaiy’ye
Baat kehdi, hunar e mehdi
Kitne yahan mere waadon ke qaidi
Rakhun is gumaan me ke aaunga bachaane
Par aaunga ya nahi ye to khud bhi pata nai
Me dhongi faraibi me bechta umeed
Yahan jo bhi milenge wo dhan ke mureed
Ye to dil ke Yazeed
Yahan firkay mazeed
Jinki raahain hai seedh
Unke peeche raseed
Shoba nahii deta me shammay bujha dun
Me dhoka nai deta me maazi jalaa dun
Me yaadon me sab ki hi kar gya baseera
Ye dhaltay gaye sooraj ye qallam nahi thehra
Me bharam se kehra me yahin hun reh raha
Me raaton ka saathi me roshan sawaira
Ujri ye basti par ukhra na khema
Kal ke hi mun pe me pherdun khiraama
[Chorus]
Ham jaa rahe
Ye aasron ke dar pe ham kyun?
Ham taaray
Ye raaton me hi kyun ham chamkain
Taaray was written by Sunny Khan Durrani.
Taaray was produced by Sunny Khan Durrani.
Sunny Khan Durrani released Taaray on Sat May 29 2021.