Since Tum by JANI, Talha Anjum & ​​superdupersultan
Since Tum by JANI, Talha Anjum & ​​superdupersultan

Since Tum

JANI

Download "Since Tum"

Since Tum by JANI, Talha Anjum & ​​superdupersultan

Release Date
Wed Sep 25 2024
Performed by
JANI
Produced by
​​superdupersultan
Writed by
JANI & Talha Anjum
About

“Since Tum” is an emotional and introspective song featuring Talha Anjum, produced by Superdupersultan, with Jani as the main artist. The track delves deep into themes of love, loss, and longing. Jani’s verses paint a picture of a past relationship, filled with regrets, and reflections on a lost lov...

Read more ⇣

Since Tum Lyrics

[Chorus]
Kyun? Kahan?
Yeh kaisa faisla hai
Mein tujhse door raha
Yeh meelon faasla hai
Aur ab mein hoon kahan?
Ke tum sa tou ab milta nahi
Aur tum saath ho tou khilta sahi
Par ab kya karein?

[Verse 1: JANI]
Tu pyaar ya khayal hai mera
Tu pehla malaal hai mera
Mein jaadugar hoon qalam ke saath
Tu pehla kamal hai mera
Ab mujhe teri yaad aaye bohot
Mein karun tujhe ek text aur
But you don't give a fuck about me
Batade jaana ghar kab aayegi
Pohanch jayenge paigham ki tarah
Dhal jaayein kisi shaam ki tarah
Tu dhoondti phirrey humein sheher bhar may
Apne qeemti samaan ki tarah
Hum tere maizban naa sahi
Shab-e-gham koi aasan naa rahi
Mein seekh kar betha hoon dil behlanay ka hunar
Tere aane ke aasaar naa kahin
Tu jo muskura de
Mere har zakham ko marham dastiyab ho
Tu jo gunguna de
Koyalon ki dhun sa lagay izhaar ho
Tu jo galay laga le
Jaise har kali ki mehak bekaar ho
Tum kya ho tum khud nahi jaanti
Yeh sab mere saath har baar ho

[Chorus]
Kyun? Kahan?
Yeh kaisa faisla hai
Mein tujhse door raha
Yeh meelon faasla hai
Aur ab mein hoon kahan?
Ke tum sa tou ab milta nahi
Aur tum saath ho tou khilta sahi
Par ab kya karein?

[Verse 2: Talha Anjum & JANI]
Tum se milay tou theek, naa milay tou dil yeh
Khanjaron se chaak hogaya, aur sarr pe
Bojh pareshaniyon ka, but I'm clocked in
Studio may laga rehta ladka raat din
Bottom of the bottom jani, you know I've been
Now I'm at the top jaise mein koi haakim
Sangaton ne rang ab badle, they've been talking
Naa aaye mo'tabar, naa aayi maut bhi
Janam meri zindagi hai ghazal bangayi
Tu insaaf naa karay, tu adal bangayi
Tujhse lakhon meel jaise tu ho chaand
Teri roshni ab kashish-e-saqal si bangayi
Naa tootnay se tootay woh qasam si bangayi
Mein likhun shayari, tu adab si bangayi
Jo chhordi adhoori woh nazam si bangayi
Mein yaad karun tujhko, tu sabaq si bangayi
Phir umeed kyun jagati ho?
Tum kahan ho? Kya siyahi may samati ho?
Hamesha dair kar deta hoon mein pata hai naa
Tou meri jaan tum bhi waqt par kyun aati ho?
Hum khudse baaghi hain ya bekhabar
Naa maut aati hai, naa hi sabar
Tu hi naa mila mujhe agar
Tou mein faaslay barhaun tum se bas

[Verse 3: Talha Anjum]
Tu kheenche apni ore
Naa chalta khud pe zor
Tu daalay aisi dor
I'm hoping, you don't let it go, let it go
Chhoro yeh bahanay, yeh kahaniyan
Barhao naa tum dil ki pareshaniyan
Hum pehle aashiq tou nahi hain jaan-e-mann
Yeh ishq khaa gaya bari jawaniyan
Mein iss farash se jurr ke bohot khush
Kya karein teri hawayein hain sawariyan
Hum kho gaye hain khud may
Mil ke nahi de rahay
Ab kya Eid, kya Diwaliyan, hmm

[Verse 4: JANI]
Bas ek jhalak jo dikh jaaye mujhe teri
Tou shuru karein hum Eid ki tayaariyan
Mein iss farash se jurr ke bohot khush
Baadalon se hain lagayi tu ne yaariyan
Tere samaan se bhari meri almariyan
Mat karo tum aur mazeed meharbaniyan
Mein bas dil ki baat kehne wala tha tumhe
Par kisi ne mujhko neend se jaga diya
Maahir hogya hoon mein bhi ab tarapnay may
Tou kyun darenge hum bhi dil ko rakhne may
Badal gaye ho tum bhi ya pata nahi
Tum aise tou nahi thay mere sapne may

[Chorus]
Kyun? Kahan?
Yeh kaisa faisla hai
Mein tujhse door raha
Yeh meelon faasla hai
Aur ab mein hoon kahan?
Ke tum sa tou ab milta nahi
Aur tum saath ho tou khilta sahi
Par ab kya karein?

Since Tum Q&A

Who wrote Since Tum's ?

Since Tum was written by JANI & Talha Anjum.

Who produced Since Tum's ?

Since Tum was produced by ​​superdupersultan.

When did JANI release Since Tum?

JANI released Since Tum on Wed Sep 25 2024.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com