Teen, pehla hai sangeet
Dusra hai yoma
Teesra ye dilnashi
Inn sabko sath leke chalta
Kaafi khoobsurat ye feel
Ye ghere rehte mujhe har ghadi
Meri tript aatma leen, kyunki
Ye bikey pade sarkari janak
Mene likhey gaane, rajdhani palat
Aane wali peedi khandaani chamak
Mujhe kehne lage hindustani NF
Lage tumhe gulami behtar hai
Ye soch soch ka matter hai
Me reh chuka hoon saye mei itna
Mujse bolna ni manmani galat
Toh me galat hoon koi kese kehde
Har hafte gaane aate, behte rehte
Sunte nahi hai kyuki bethe behre
Muh kholo kam mere paise pehle
Jeevan chota tabhi BT khisko
Toh karne do jo karna jisko
Me hoon ya ni fark padta kisko?
Tabhi yoma stu mei chale dard-e-disco
Kuch farishtey tehle zameen pe
Unse seekhe sare taur tareekien
Pehchana khud ko meri hasti kya hai
Jaha paida hua maru wahi pe
Tum apna dekho mera sahi hai
Soch trip mei saer kar rhi hai
Socha tumne aise, hum nahi hai
Papo ki tokri bhar rahi hai, shuddhi
Insani mans ka maidan aur lahu se bani jheel
Upar uddrahe parindey aur unke upar hai cheel
Tumko pata hai sabhi kuch fir bhi lagta kuch ni true
Kuch bhi karne se pehle mei aake tumse puchu kyu?
Hogi hogi rubaru
Tum sab se ni darta hoon
Meri kala se judi nafrat, nafrat se bana hoon
Aur me chalraha hoon beat pe
Khichke, ye heat hai
Azaadi ki raseed hai ye soch, na naseeb koi
Ayy dronark, hit me up man
Just like the old times, mhm let's go
Inn bhedio mei ke bech eklauta sher
Sangeet yoma nashe teen affair
Sarv sansaar mei boli goonje
Sabse alag bolo sar pe paer
Mujhe nahi pata hai, ye nayi jaga
Koi ni jaga hai, bethi nayi sama hai
Bhakti ka bhav ni bhram hua hai
Jo tha amar woh mar chuka hai
Pure bhugol mei uthchuka shor
Insaniyat ki tooti jo dor
Jo sant bante bankchuke chor
Karma asal hai duniya hai gol
Tabhi baaz bana me
Kala mask pehna maine
Andhera hua pada
Fir bhi saaf dekha maine
Yoma
SHASHANK, Dronark - Drishti was written by Shashankhiphop.
SHASHANK, Dronark - Drishti was produced by Dronark.
Dronark released SHASHANK, Dronark - Drishti on Fri Apr 15 2022.