(1st Verse)
Khud se hi puchta hu main Sawaal
Khud hi main deta fir uska jawaab
Akela main khogya hun kis sadak pe
Jo karne laga hu main khudse hi baat
Guzre hogye hai tumko toh saal
Mausam toh badla, na badla yeh haal
Lagta hai jaise yeh kal ki ho baat
Aata hai jab mujhe manzar wo yaad
Shikayatein thi mujhe tumse
Afsos hai kyun naaraz tha main tumse
Jabse tum gaye ho toh jana maine zindagi
Yeh choti h khafa hone ke liye
(Pre-chorus)
Kya mauka milega dubara
Toh karna chahu shukrana tumhara par
Kya mauka milega dubara mujhe?
(Chorus)
Oh khuda yeh bata mere, Kya legaya tu ghar unhe
Ya ban chuke sitare wo, Kya mujhko wo dekh rahe
Galat sahi na jaanu main, Sunna chahu awaaz main
Fir puchu in tasveero se, par koi jawaab
Na mile
Na mile
(2nd Verse)
Jab the wo saamne tere, fir kyun na jataya pyaar unhe
Jab the wo paas mei tere, fir kyun na lagaya gale unhe
Mod liya muh tumne toh, jab chl rhi thi saansein woh
Ab ankhon mei pani, hath mei tasveer leke
Maange tu maafi yeh
Galtiyan hui hai mujhse
Par daant lo tum mujhe haq se
Is bahaane main sun lunga wo awaaz
Aahatein de sakte ho toh do fir mujhe
(Pre-Chorus)
Kya mauka milega dubara
Toh karna chahu shukrana tumhara par
Kya mauka milega dubara mujhe?
(Chorus)
Oh khuda yeh bata mere, Kya legaya tu ghar unhe
Ya ban chuke sitare wo, Kya mujhko wo dekh rahe
Galat sahi na jaanu main, Sunna chahu awaaz main
Fir puchu in tasveero se, par koi jawaab
Na mile
Na mile
Han main jo bhi hun aaj tum ho waja, tum ho wajah
Bas dekhlena aage hona khata, hona khata
Oh khuda yeh bata mere, Kya legaya tu ghar unhe
Ya ban chuke sitare wo, Kya mujhko wo dekh rahe
Galat sahi na jaanu main, Sunna chahu awaaz main