Verse 1:
Sabar rago mein tere, aye Kashmir
Housla ye cheene kaise aye Kashmir
Dekhi qayamatien, dekhi hai aafatien tune
Taire ye kashti tab bhi aye Kashmir
Aankhe karti bayaan sitam hai tere kitne
Zaalim ke aagey na teke hai tune gutne
Zanjeero mein kaid hai khubsurati teri
Tab bhi tu faiz kyun? aye Kashmir
Surkh zameen yahan lahoo se jumgayi hai
Beparwa, behaya, duniya toh sochuki hai
Zeherili neendh hai, nasha hai aisa taakat ka
Teri maasoomiyat ke mujrim hue bari hai
Dekhi zalalat tune aye Kashmir
Dekhi bhagawat tune hai Kashmir
Dekhi shahadat tune aye Kashmir
Allah hu Akbar! naarai taqbeer!
Gaflat ka manzar har insaan anjaan, par!
Nafrat ke ghar mein kyun hai sab zahaan
Yahan? qatil kehlaate mahaan, huh
Tujh se cheene tere armaan
Tujh se cheeni teri pehchaan
Tu maanghe insaaf, ye badle zabaan
Fareb har saans mein, behki hai awaam
Hai dil mein azaab aye Kashmir
Hook:
Tu sarfaraz, aye Kashmir
Jaan tujh pe nisar aye Kashmir
Mukhalafat ki misaal hai Kashmir
Tujh sa bann na nahi asaan aye Kashmir
Tu sarfaraz, aye Kashmir
Jaan tujh pe nisar aye Kashmir
Mukhalafat ki misaal hai Kashmir
Tujh sa bann na nahi asaan aye Kashmir
Outro
Tu sarfaraz hai, sarfaraz hai tu!
Meri jaan hai!
Aye Kashmir!
Sarfaraz was written by Ahmer Javed.
Sarfaraz was produced by Ahmer.