(Verse)
Shuru kiya meine san 2009 se
Rep karta Bombay
Jeevan ki seekh lete duniya aur mom se
Doston ki fauj me, Pasand tha wrong way
Guzaara bachpan mein Mhada ke chawl me
Pal saare beete jaise hawa ke jhaunke
Abhi sapnon ko poora karne daudey
Scene ab on hai, Khoon toh khauley
Bollywood me ghusa rap, Kyuki EDM hai boring!
Haq hai public tumne chuna HipHop
Kaafi artist ke poore hue shauk
Underground na baitha maun
Ab kaun nahi jaanta asal aur fraud
Kitne saare log gyaan pelte
Mein na Fuck deta, Kaan me tel le
Ek dusre ki chaat te rehte
Aag se khele hum kyuki kalaa ko yeh baat te rehte
Maapte rehte, Views aur followers
Na dete dhyaan hum jaise paudhon par
Talent hai toh fir khaana hai sau thokar
Pasand hai gaane nashey aur aurton par
Sunte yeh on hokar
Hum sab musaafir, Karam hi dharam, Kaho na kisiko kaafir
Kyuki woh shaks hi jaanta uspe kya guzarti
Vaataavaran hota negative toh khudko kehta rehta fir
(Chorus)
Mushkilein aayegi, Baadhaaein laayegi, Banna mat tu kamzor
Sapne dekhne na chod, Haan, Sapne dekhne na chod, Haan
Karte reh mehnat, Hasuley buland rakh, Zindagi me rakh goals
Himmat apna na tod, Aur sapne dekhne na chod! (X2)
(Verse)
Jo hua woh toh kal ki baat hai, Tere paas aaj haath hai, Uska istemaal kar
Musibatein hongi jahaan par
Saamne pahaad toh ban tu saagar
Saahas badhega jabhi bheetar ho manzil ko paane ki dhaakad
Tujhme hai woh taakat
Aur mann ko tu shaanth rakh, Kyuki woh dar ke maare kap-kapaata
Saekdo sawaal paida hote jaise kalaakaari karke ghar ka kaise banunga anna-daata
Sankat toh sab par hai, Hal milna masla hai
Girkar fir uthke yeh kalam ko ghasna hai
Dheeraj tu rakh kyuki lamba yeh rasta hai
Aatmavishwaas toh chunautiyon par hasta hai
Apne tu focus ko karna na feeka
Hai tu khud hi ka maseeha
Baha paseena, Aur khud ko sudhaar
Aur ban niraakaar jaise behti sareeta
Haath se na jaane de koi bhi mauka
Kyuki woh toh hota khuda ka taufa
Meine bhi peeche cheezein thukraaye
Tab jaake seekha ki har kadam hai anokha
Uspe na rona dhona, Kyuki jo hota woh acche ke liye hi
Zindagi khulke legi, Kar datkar saamna, Tabhi toh fal woh degi
(Chorus)
Mushkilein aayegi, Baadhaaein laayegi, Banna mat tu kamzor
Sapne dekhne na chod, Haan, Sapne dekhne na chod, Haan
Karte reh mehnat, Hasuley buland rakh, Zindagi me rakh goals
Himmat apna na tod, Aur sapne dekhne na chod! (X2)
Sapne was produced by Zero Chill.