Download "Rubai"

Rubai by Sunny Khan Durrani

Release Date
Sat Aug 07 2021
Performed by
Sunny Khan Durrani

Rubai Lyrics

[Intro]
Yeah
Chal
Dekh lete hai
Koi baat ni
Koi baat ni
Dekh lete hai

[Verse 1]
Me umeed ka sodaagar bechun tumko dilaase
Me dur ka musaafir me khud bhatka yahan pe
Mujhe khud nahi pata konsa raasta yahan theek
Rishte itne kamzor jese snapchat ki streak
Pichli seat pe me rickshaw ke teh karta dooriyan
Anokha musaafir, mujhe film lage dunya
Kitne kirdaar yahan rul rahe bazaaron me
Kon khel raha khel kon khara hua kinaaron pe?
Jahan khara hojaun qasam se wohi mera sheher hai
Aik sheher me dupeher to dusre me sapeher hai
Ham sab is dunya me kuch na kuch bech rahe
Umeedwaar, khareedaar yaar bohot pyaar kahan
Apne jab is dunya me muaiyyan hain chaar din
Phir kya farq pare? pese rakhun kyun me gin gin?
Ghaafil dost se kkhabardaar dushman ka waar sahi
Har koi chahta par koi samajhne ko taiyaar nahi

[Chorus]
Apni chahat sambhaalay
Chalta hai be sahaaray
Chodh na kya rakha hai
Haasil nahi kuch pyaaray

Apni chahat sambhaalay
Chalta hai be sahaaray
Chodh na kya rakha hai
Haasil nahi kuch pyaaray

[Verse 2]
Muhallay ke uncle mujhe kaafir kehte ja rahe
Aur unke hi bachay saare mujh hi se mutaasir
Mera phone aese gire jese crypto ki market
Teri fanbase toxic jaise BTS army
Tor aaya dum aaj jhelum kinaare
Meri aakhri ye saans hui sadqay tumhaare
Meri aas is raah me kyun sadiyan guzaare?
Me raakh ki raah me ab to khush ho na pyaare?
Mere naqshon me gum hogae raste tumhaare
Mere mehel e jaan ki ab kyun dekho gir raheen dewaarain
Me haath upar kar kehta shukar hai khudaya
Mujhe dedia hai Bpd par doghla ni banaya!!
Haath maarain mere maazi me
Doobay peron tak ye shar me aur bane phirain qaazi
Me raazi razaa ke is khel se hi aaq hun
To tum sab phir kon ho ke tumhay me jawaab dun?
Wahan maazi nelaam yahan jaltay hain choolhay
Mere baatin ki laash tangi chatt se wo jhoolay
Aur tum sab ke rolay aur maslay nai muktay
Ghanta nai faraq ke tum kis ke ho chuktay!
Tum sarhadon pe khara we tamaashbeen
Me gali me nikalta to tum jese teen
Tere jese the 2 paalay mene aasteen me
Aaj das rahe hain dono sab tamaashbeen hain!
Kund zehen log banne yahan mahereen hain
Zahiri ye kahiri me dairay me ghusne ki khuwahishen me qaiday se karke muhaaiday Ye side pe najaiz hai ke jaane dun sar kahe farigh hain jane de na

[Chorus]
Apni chahat sambhaalay
Chalta hai be sahaaray
Chodh na kya rakha hai
Haasil nahi kuch pyaaray

Apni chahat sambhaalay
Chalta hai be sahaaray
Chodh na kya rakha hai
Haasil nahi kuch pyaaray

[Verse 3]
Kyun aansu behtay tere hain bol na aey aadmi
Ke mila tujhe dard jo to tum hi zimmedaar the
Ye zaib nahi deta yahan mardon ka rona dhona
Aadam ke naam pe tum laanat bano na
Nikal jao ab ghar se ke pese hain kamaane
Koi aasra nahi sab tere hi hawaale
Dard sab ka hai aik sa to konsa kamaal hai?
Ke khilaanay wala haath nahi ginta niwaalay
Sawaal hai ya jawaab, mujhe farq nahi pata
Doobna mujhe gehraai me main chahta nai satah
Kisi ne bhi waadon ka yahan paas nahi rakha
Kyun rakhun me sharaafat mujhe milti nai wajah
Me gunehgaar sar se pair tak me shar me
Me zimedaar khamoshi mere ghar me
Ye aitbaar tha ke aankhain band karke
Ham chal diye par ham ye samajh na sake ke

[Chorus]
Apni chahat sambhaalay
Chalta hai be sahaaray
Chodh na kya rakha hai
Haasil nahi kuch pyaaray

Apni chahat sambhaalay
Chalta hai be sahaaray
Chodh na kya rakha hai
Haasil nahi kuch pyaaray

Rubai Q&A

Who wrote Rubai's ?

Rubai was written by Sunny Khan Durrani.

Who produced Rubai's ?

Rubai was produced by Sunny Khan Durrani.

When did Sunny Khan Durrani release Rubai?

Sunny Khan Durrani released Rubai on Sat Aug 07 2021.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com