Ram Setu is the title song of this EP which depicts the tiredness, restlessness and loneliness of the soul. And in the midst of this loneliness, ‘Ram’ is such a name that keeps us alive, gives us reason to breathe. In this song, the poet is completely broken and has lost hope from this world; he onl...
[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se
Main dar dar bhatak raha tha teri banadgi se pehle
Main dar dar bhatak raha tha teri banadgi se pehle
[Narci]
Prabhu tumse kuch bhi na chupa hai, hoti tumse hi subah hai
Kab se duniya se hoon toota, mujhe tumne hi suna hai
Mujhe tumne hi dekha hai, mujhko tumne hi padha hai
Sach bolun to duniya saari gair, mere laakhon se hai vair
Rakhe paapon pe hai pair, paapi tere main bagair
Karta aanshuon pe sair, meri maange na koi khair
Duniya lagti ye zehar
Sabse toota hoon na kisi pe bharosa hai
Ummedon ke nakhuno ne is dil bhi khaorcha hai
Fande mein saajishon ke hai apnon ne dabocha
Siva tere prabhu maine kisi ka na socha hai
Tere liye praani main, auron ka khilona hoon
Main tere aage sifar hoon, main tere aage bauna hoon
Ye log soche main to jeeta zindagi vilaas ki
Dard bade bhaari prabu main bhi chaahta rona hoon
Tera naam leke aage mera kaam dedun
Doobe kaam nahi jo main tera naam le loon
Dil pe likha Ram to main kyun hi darun doobne se?
Dil ko dil se jode, gaane bane Ram setu
[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Main kuch bhi to nahi tha, meri kuch nahi thi hasti
Main yun bhatak raha tha toofan mein ho kashti
Main bhuja hua diya tha haan, main bhuja hua diya tha (kab?)
Teri banagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha? (x4)
[Narci]
Raas aata samay na ye, Treta mein le jaao Ram
Sar pe rakh dhool teri tum mein hi kho jaaun Ram
Kewat hi bana lo, kuch bhi na main maangu aur
Pairon ko main dho ke tere chain saccha paun Ram
Tum hi mere sage duniya shuru se anjaan thi
Saare sukh gair mujhe teri hi pehchaan thi
Dil bhaari ye karta parbhu choti si guzaarish
Har lo mere kashton ko ya le lo meri pran hi
Leela mein teri zara sandeh, kare sandeh jo unhi bhi de
Teri kripa ki haan chhaaya badi, rakha hai tune na kisi se bhed
Likhe hai haathon ne tere hi lekh, dooba hoon tere mein kaise main dekh
Karo alag mujhe paapon se tum, mujhe bula lo tum abhi Saket
Tera dhaam prabhu wohi saccha sthaan prabhu
Maan prabhu meri yaachika ko maan prabhu
Le jaa door kahin jhooti is bheed se
Aasha ki ye dori ko tu fir se meri bandh prabhu
Tera naam leke aage mera kaam dedun
Doobe kaam nahi jo main tera naam le loon
Dil pe likha Ram to main kyun hi darun doobne se?
Dil ko dil se jode, gaane bane Ram setu
[Pujya Rajan Ji Maharaj]
Meri badh gayi hai keemat, tune bhar diye hai moti
Meri badh gayi hai keemat, tune bhar diye hai moti
Main bhuja hua diya tha haan, main bhuja hua diya tha (kab?)
Teri banagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle
[Pujya Rajan Ji Mahara and Narci]
Mujhe kaun poochta tha teri bandagi se pehle (x4)
Tera naam leke aage mera kaam dedun
Doobe kaam nahi jo main tera naam le loon
Dil pe likha Ram to main kyun hi darun doobne se?
Dil ko dil se jode, gaane bane Ram setu (x2)