Ram Bhakt Hanuman by Narci
Ram Bhakt Hanuman by Narci

Ram Bhakt Hanuman

Narci * Track #1 On Hanuman Setu EP

Download "Ram Bhakt Hanuman"

Ram Bhakt Hanuman by Narci

Release Date
Wed Oct 10 0001
Performed by
Narci
Produced by
X Zeus
Writed by
Narci

Ram Bhakt Hanuman Lyrics

[Nirbhay Wadhwa] Mere rom rom mein hai prabhu Shree Ram

(Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein)

[Nirbhay Wadhwa] Mere tan ke kan kan mein hai prabhu Shree Ram

(Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein)

[Nirbhay Wadhwa]
Aur mere man ke pratek kone mein baste hai prabhu Shree Ram

[Aziz Nazan & Mahendra Kapoor]
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein

Duniya bhar ki bhakti ka hai
Bhandaar tumhari aankhon mein

Hey Maruti

Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein

Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali

[Narci]
Ram bhajan hai praatah kaal, Ram hai lori raaton ki
Ram Siya hi hai kadi Hanuman ki saanson ki
Naam Ram ka goonjega jahan Maruti daudenge
Ram base Maruti mein, Ram hridy mein Maruti
Veer Maruti doobe hai Ram naam ke jaap mein
Ram geet mein leen pade, hathon mein khartal hai
Raghuveer se saans judi hai veer Maruti aisi ki
Raghuveer ho peeda mein to aansu bеhte aapke
Ram bhajan ki meethi vaani hridy pe aakе lagti hai
Sagar saara laangh gaye they Ram naam ki shakti hai
Chanchal hai svabhaav aapka isse zyada kya kahun
Kaya hai vishal mili par sar jhuka hai bhakti mein
Ram katha hai aankhon mein, Ram base hai saanson mein
Hanuman to baithey neeche Ram naam ki chhaanv mein
Lag jaate gale wo to apne swami ke
Ro dete Maruti dekho Raghuveer ki baahon mein

[Aziz Nazan & Mahendra Kapoor]
Tum jaisi vibhooti na any hui
Prabhu bhakti tumhari anany hui
Pratibha ke dhani Hanuman suno
Pratibha ke dhani Hanuman suno
Tumhe paake ye dharti dhany hui

Mata Mithilesh dulari ka hai
Mata Mithilesh dulari ka hai
Pyar tumhari aankhon mein

Hey Maruti

Mere svapnon mein hai prabhu Shree Ram

Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein

Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali

[Narci]
Sita ji ke pyaare ho, Ram ke dulaare
Vaanarsena ke chahite, bhai Lakhan ko pyaare
Shatrughan ko ho pyare veer suno Maruti tum
Bhai Bharat to sath lagate Ram Siya ke naare
Raghuveer ke seene mein Maruti ka dhaam base
Seene mein Maruti ke Raghuveer ka naam base
Chehre pe jo hai khushi uske peeche bhi hai Ram
Aankhon se jo behte aansu unmein bhi hai Ram base
Ram jape jihva tumhari, Ram katha aankhon mein
Ram padhe naina ye dono, Ram mile baaton mein
Ram naam se shuru kadam, Ram pe aake rukte hai
Ram naam se seena chauda, Ram aage jhukte hai
Ram katha hai aankhon mein, Ram base hai saanson mein
Hanuman to baithey neeche Ram naam ki chhaanv mein
Lag jaate gale wo to apne swami ke
Ro dete Maruti dekho Raghuveer ki baahon mein

[Aziz Nazan & Mahendra Kapoor]
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari

Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein
Hey Maruti saari Ram katha ka
Saar tumhari aankhon mein

Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali
Jai Jai Bajrangbali

[Nirbhay Wadhwa]
Jo vayu svaas bankar, mere is shareer mein pravaahit hoti hai, usmein hai prabhu Shree Ram

Ram Bhakt Hanuman Q&A

Who wrote Ram Bhakt Hanuman's ?

Ram Bhakt Hanuman was written by Narci.

Who produced Ram Bhakt Hanuman's ?

Ram Bhakt Hanuman was produced by X Zeus.

When did Narci release Ram Bhakt Hanuman?

Narci released Ram Bhakt Hanuman on Wed Oct 10 0001.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com