Rainy Nights by JJ47, Talha Anjum & Jokhay
Rainy Nights by JJ47, Talha Anjum & Jokhay

Rainy Nights

JJ47

The music player is only available for users with at least 1,000 points.

Download "Rainy Nights"

Rainy Nights by JJ47, Talha Anjum & Jokhay

Release Date
Wed Oct 02 2024
Performed by
JJ47
Produced by
Jokhay
Writed by
JJ47 & Talha Anjum
About

Rainy Nights is a song describing the feelings of a guy waiting for his lover, it starts raining and it reminds him of her, but she doesn’t come and the evening starts to become a dark night.

Rainy Nights Lyrics

[Intro]
Hmmm

[Chorus: Talha Anjum]
Ab baadal barse jab tere bin
Mere khaali se sehan may
Meri raatein aur tere woh saare din
Baatein bhi karte hain aapas may
Ke tu aaya he nahi
Tu aane ko he tha
Mujhe hosh naa rahi
Mein bheegta raha
Aur cheekhti rahin meri khamoshiyan
Phir chaand chhup gaya
Phir tareekiyan

[Verse 1: Talha Anjum]
Tu he darya hai, tu he kinnara bhi hai
Tu jitna beparwah hai, tu utna pyara bhi hai
Tu chhuke jaaye tou jaise bahaarein he aagayin
Warna khizaaon ne mujhe ujaada bhi hai
Ab maqsad be-maqsad hue
Tujhe gaye arsay hue
Par barse ab baadal jou mujh par
Tou yaad aaya hum tujhko tarse hue
Be-ghar hum ghar se hue
Haath ab masaltay hue
Darte rahein ge kab tak bikharne se
Darte hain ab tere mun pe mukarne se
Duniya intezaar karti reh gayi
Mein be-dili se gaya nahi stage pe
Warna tou mein stage pe khada hota hun
Aane nahi deta, dil may jou hai, woh face pe
Mein akelepan se aashna sa ho chuka
Jaise mein akela rehta hun sheher may
Mujhe koi mashwara tou dede maut ka
Sirf nasha hai ab tere iss zehar may

[Chorus: Talha Anjum]
Ab baadal barse jab tere bin
Mere khaali se sehan may
Meri raatein aur tere woh saare din
Baatein bhi karte hain aapas may
Ke tu aaya he nahi
Tu aane ko he tha
Mujhe hosh naa rahi
Mein bheegta raha
Aur cheekhti rahin meri khamoshiyan
Phir chaand chhup gaya
Phir tareekiyan

[Verse 2: JJ47]
Mein dhoondun tera naim-o-badal
Ke dikh jaye tujhsi shakal
Ke jaaun kisi tarah sambhal
Mere vehm-o-gumaan may bhi jou naa ho, mil jaye phal
Kahan gayi meri aqal?
Aur naa he tu karti dakhal
Mein sochun tera zikar yun karun
Ke mein ek aur likh bethun tujhpe ghazal
Meri jaan, tum ghalat nahi ho
Kaise jhutlaun lat nahi ho?
Tum barso ge kaise sookhe maidano may?
Meri jaan, tum falak nahi ho
Tere liye yeh bhi hadd nahi hai
Mere liye tum sabaq nahi ho
Tum mujhe ek ghar tou deke chale
Par tum bin uski chhat nahi ho
Tou mujhe awaaz dena
Jab raat yeh batane lage
Tanhayi bhi khaanay lage
Jab dard bhi hasanay lage
Tou mujhe yaad karna
Kis tarah se thikaane lage?
Kis shakhs se nibhaane lage?
Tumhe baraste zamaane lage, kyun?

[Chorus: Talha Anjum]
Ab baadal barse jab tere bin
Mere khaali se sehan may
Meri raatein aur tere woh saare din
Baatein bhi karte hain aapas may
Ke tu aaya he nahi
Tu aane ko he tha
Mujhe hosh naa rahi
Mein bheegta raha
Aur cheekhti rahin meri khamoshiyan
Phir chaand chhup gaya
Phir tareekiyan

Rainy Nights Q&A

Who wrote Rainy Nights's ?

Rainy Nights was written by JJ47 & Talha Anjum.

Who produced Rainy Nights's ?

Rainy Nights was produced by Jokhay.

When did JJ47 release Rainy Nights?

JJ47 released Rainy Nights on Wed Oct 02 2024.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com