[Verse 1: Ahsan]
Lafzo sy khelun jesy khaan khelain raag sy
Married to the game game ka main maarley
Hum dono main farak ayy tabhi rakhy faasly
Hum bethy arash pe aur tum neechy khaas ryy
Ki hustle ayy choty ye mehnat ka phal
Mila kal nahi
Lekin main banda nadar bay qadar nahi
Jaani Jo mushkil pary to nikalty hal Bhai
Chal Bhai Lil Wayne waali feel lyy
Meri class main tou beth thora seekh lyy
Ezzat kmai jaani shows kiye free main
Ye mera art lekin leta nahi fees bey
Suno PAC ko repeat pe
Jo saary sath Real 4 khary 20 pe
Main betha 6 number fire karain weed yeah
Sath wo Jo laya anjum ko beat pe
Air plane mood betha K2
Aabi J role kary mery sath bethy phase 2
Bajy j Cole hoi gun load goal Uddy control Mery bars phassy en ky earhole
Gujranwala sy k town
Aish sy hy bhra dashboard
Kro breakdown
Lafz mery bhaari
Main likhaari
Bary bary peechy chory hain khelari
Mery aagy saary rap god lagty hain anari
Kaano main qawali jaani subha ky hain 4 bajy
Dety thy Jo gaali jaani wo Bhi saaly haal pochain
Pait mera khaali lekin jaib main hain 5 patty
Chor diye kaam jaani jin ky thy anjaam gandy
Maine kashti lgai ayy kinary pe
Hip hop bjaya hay jaani akhary main
Hustle hi ki hay nai dhoondy sahary
Khuda pe bhrosa ye khuda Bhi jaany
K town mujhy back kary
Bandi boly smack karain
Kholy Maine qaid khany
Nahi en ko chain pary
Bna main to trendsetter
Follow mera trend karain
Urdu rap ka raggu
Poory Shehar pe hum raaj karain
Real saary saath rakhain
Galtiyo ko yaad rakhain
Gaany mery sun sun
Hassad sy ye kaanp uthy
Gunnah jaani lakh karain
Lekin jaani yaad rakh
Galtiyo sy seekh ky hi aaj jaani yahan khary
[Chorus: Ahsan]
Qalam aur kagaz bhi ho rahy garam
Kamyaabi ko dekh enhain hoti hy jalan
Ye jaahil jo hip hop main la rahy dharam
Bhai mehnat sy hota hay khuda ka karam
Main laga raha jaani chori nai hustle
Ab jo bhi main karu sab krty hain pasand
Kal ezzat ki bhook aaj usi ka bharam
Ab hip hop ky zakhmo pe rakhu main marham
[Verse 2: Talhah Yunus]
Mai kalla ka gawah banu
Mai logon ka bhalla karu
Har ghalti ko mana karu
Har zakhm ki dawa banu
Sab chahte mai Talhah banu
Bheer mai bhi tanha rahu
Khud ka mai sagga rahu
Ghar ka mai bara banuu
Kar meri qaza qubool
Shukar ada karu
Kia ye khata qubool
Jungen fatah karu
Apni raza se duur
Kia mai fazaaa par huu?
Piye saza k ghoont
Mai is jagah par kyun?
Sarr phirre, hum tou dunya se larr paren
Khole humne sarr baray, jab bhi lagay garbar hai
Sarr charren, ye kamatay mere bal par hain
Urdu Rap ki pehchaan nai hum jarr banen
Bill bharen, zimmedari len, woh fard banen
Sun yehi lafz mere parr banay
Un k rokne se pehle hum chal paray
Shayari mai dard bharen, ghar k hum mard banen
Baap mere bola beta raaton ko na jaag tu
Pooray kiye khuaab sochu daray mujhse khuaab kyun?
Saari saari raat rehta hai tu ghar se baahir kyun?
Bachi na koi aarzu, tou charre mujhe khaar kyun?
Kaghaz ko mai aag du, chahu tou tujhe gaarhdu
Par Kese apne andar k is artist ko mai maardu
Ilm apna baant du, har girrtay ko hath duu
Bhonktay ab sath kyun ye kutte mere paltu?
Mera flow jese Buggati beta bhaagta raha
Gaanay phenkne wala mai zamana poora jaagta reh
Chahte wo bhulaaana hum ko, dil se dil ka raabta ye
Ghumen humein ameeron mai, na dikhe unhe daagh mere
Karachi chaati pe, jani mai Alamgir bhi
Chalrahay wo taachi, Mai Raja mai Wazeer bhi
Deta inhe dheeel bhi mai deta inhe deals bhi
Duur se hi jaanch len, Ye ankhen jese cheel ki
[Chorus: Ahsan]
Qalam aur kagaz bhi ho rahy garam
Kamyaabi ko dekh enhain hoti hy jalan
Ye jaahil jo hip hop main la rahy dharam
Bhai mehnat sy hota hay khuda ka karam
Main laga raha jaani chori nai hustle
Ab jo bhi main karu sab krty hain pasand
Kal ezzat ki bhook aaj usi ka bharam
Ab hip hop ky zakhmo pe rakhu main marham
Qalam was written by Talhah Yunus & AHSAN.
Qalam was produced by Jokhay.