Parindey
(hook)
Aao ud chale na befikar hawa mein
Ekdusre ko dard ki dawa dein
Ek dusre ko hum gale laga lein
Tu hi to bacha hai baaki sab tabah hai
(verse)
Kisi jagah pe ped ki wo unchi saakh par
Banayege ek ghonsla hum tinke chaant kar
Jameen pe daane jo bhi dhundhkar milege humko
Khusi se khayege hum sath me wo baant kar
Jo raat ko agar koi ghana tufaan bhi ho
Chhodege na sath jo ye jaati jaan bhi ho
Main pankho se haan dhak rakhuga teri aankh bhi ye
Main chahta na tere man me dar ki baat bhi ho
Chehchahayege mila ke sur hawa se hum to
Main chonch se daba ke phek du har ek gam ko
Tu panjo se daba ke sath apne raat lana
Subah jagayege sabhi ko tu bhi jaag jaana
Shukar hai teri meri duniya mein na hai majhab
Kahani chal rahi thi teri meri kya gajab
Awaaj goliyo ki thi hui tu chup hai tabse
Kyu so rahi hai sath aa na chale udege ab
(hook)
Aao ud chale na befikar hawa mein
Ekdusre ko dard ki dawa dein
Ek dusre ko hum gale laga lein
Tu hi to bacha hai baaki sab tabah hai
Parindey was written by Spitfire a.k.a Nitin Mishra.
Spitfire a.k.a Nitin Mishra released Parindey on Mon Dec 24 2018.
Made this track in like 20 minutes with my brother Prabhas in Indore :) This poem is about birds.