Baatein bari haan main kar jaata hoon
Baatein poori karke dikhata hoon
Baatein karte haan main yeh jaanta hoon
Jaanta nahin tha koi bachpan mein
Kya kya socha tha aur kya bun rahe
Socha nahin tha yeh maine kabhi
Kyunke meray saath hotay thay kum hee achay
Hur jagah hotay hain meray jaise
Na koi pooche na koi samjhe
Darja hararat jub hoti baghawat
Jo jaantay nahin thay ab woh bhi pooche
Pehchaane lagay saare
Jahan bhi main jaata hoon
Kyunke inko pata hai
Kahan se main aata hoon
Inki samajh mein aayi
Kahan par main ja raha hoon
OAO
To baatein - bari shayad kar jata hoon
Baatein - poori karke dikhata hoon
Baatein inhein karne do jaanta hoon
OAO
Rukna nahin hai ab tu ne larke
Kum hai umr aur hunar hain baray
Log tujhse sartein hain, baatein yeh karte hain
Par kasam tujhse yeh darne lagay
Kitaabon mein hai nahin jo main sikhaata hoon
Samajh le tu baatein jo kehna chahta hoon
Yeh tujhse kaheinge khwaab pooray hotay nahin
Aur tu kehde main karke dikhata hoon
Khooay hooay kalahkaaron, meray parastaar main inn sub ki umeed bun ke aaya hoon
Agar main aaj jeet raha hoon to inn ko pata hai main inn sub ko hee jita raha hoon
Aaye koi saamne to bataoon
Aaye koi dhamkaanay main khara hoon
Agar main aaj mar jaata hoon shayad main inki baaton mein zinda hee reh jaoon
Pehchaaneinge saare
Jahan par bhi jaayega tu
Kyunke inko dikhta hai
Kya kya karne ja raha tu
Inki samajh mein aayegi
Kahan par ja raha tu
OAO
Baatein bari shayad karjaayega tu
Par baatein poori karke dikhayega tu
Baatein inhein karne do chaayega tu
OAO
OAO was written by Salar Shamas.
OAO was produced by Rovalio.