Naya Pakistan by Young Stunners
Naya Pakistan by Young Stunners

Naya Pakistan

Young Stunners * Track #14 On Rebirth

Naya Pakistan Lyrics

[Intro: Talhah Yunus]
Yeah yeah yeah yeah
Young Stunner
21 gun salute
Real talk
Suno

[Verse 1: Talha Anjum]
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Shareef rehte jail mein ghareeb hain behaal
Savaal uthta hai aakhir koi hal hai
Jismein paani aaye roz aisa koi nal hai
Jaani ye toh impossible hai
Ye politics toh bas ek daldal hai
Jismein ham saare Pakistani saath chal rahe
Chulha jalta nahin aur gutter hain upal rahe

Dam banane hain, darkh lagaane hain
Bacchon ko parhna hai, ab aage barhna hai
Mujhe umeed hai ke, tabdeeli hai aani
Suno kahaani shaheedon ki maan ki zubaani

Main hoon Pakistan, main Abdul Sattar Edhi
Main hoon Pakistan, main hoon Shahid Afridi
Main hoon Pakistan, main Iqbal ka ek khvaab tha
Main hoon Pakistan, main Jinnah ka ek ehsaan tha

[Chorus: Talhah Yunus]
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan

[Verse 2: Talhah Yunus]
Main likhoon sach, lage karva koi parvah nahin
Phir (?) zaat ke piche ham koi larva nahin
Mulk bada soch choti ikhtilaf vo
Aur jaan sasti roti mehengi phir bhi bardaasht bahut
Aur itihaas bole ham kisi se kam nahin
Main hoon Pakistan main koi terrorist ya bomb nahin
Tabdeeli aayi nahin, usko laana hai
Shaoor paato apne, (?) mein jaao shuru karo khud se
Hamne corrupt ko chupaana nahin giraana hai
Aage jaana hai, ghurbat ko mitaana hai
Bacchon ko parhana hai aur gand nahin phailaana hai

Aakhir kab tak sirf ameer chhape noton aur relax kare
Ghareeb dab raha, middle class tax bhare
Samaaye kone ka aakhir jaago toh sahi
Gumraah toh voh hai jo ghar se nikle hi nahin

Ye naya Pakistan, umeed ab koi behaal na ho
Shauq-e-kamaal na ho, maan ka daaman laal na ho
Khuda kare ke mere arz-e-paak pe utre vo fasl-e-gul jise andesha-e-zavaal na ho

[Chorus: Talhah Yunus]
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan
Khush-amdeed ye hai naya Pakistan
Khvaab Iqbal ka, qaaid ka ehsaan

Naya Pakistan Q&A

Who wrote Naya Pakistan's ?

Naya Pakistan was written by Talha Anjum & Talhah Yunus.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com