Sun lo jara gaur se
This is message, Raftaar
[Hook - RaftaaR]
This is for maa mother nature
This is your maa mother nature
This is for maa mother nature
This is your maa mother nature (x2)
[Verse - RaftaaR]
Khus aam insaan hai, kishan pareshan
Samaaj ko anaaj kaise de vo hairan
Kare baat barsat bina kis kaam ki
Tufaan aane waala hai kisi ko nahi dhyan
Subah-sham chale karkhaane
Dhuaa chhode aasma mein
Aasma na aasma ko thoda bhi na raas aawe
Dushit pradushit hawa bhi rangin
Insan ki zarurat ho usey na ehsaas aawe
Har banda Shekhchilli
Aari apne daali mein
Chhed apni thaali mein
Bhavishya jaye naali mein
Baante dabaado gaali mein
Kal ki na soch, khush aaj ki diwali mein
Haal hi mein prakriti laayi vinash
Woh hamesa nirash, kinaron pe mili lash
Uchhal maare saagar shakti badi bhari hai
Rone ka kya fayda galti hamaari hai
Galti sudhaaro, bakiyonko bhi pukaaro
Waqt bada kam hai samjh mere yaaro
Jo bhi galtia milke hoti badi
Yeh dharti hai mata, apni maa ko na maaro
Sunlo gawaaro digree ko chhodo ghar pe
If you educated to dikhaao kuch kar ke
Chhoti si koshish mein naam jod waalo
Saare bande ek ek paodha hi uga lo
Samjho esey full naata todo plastic bag se
Karo sab khud kuch na hoga hash tag se
Chalo hash tag lagaa lo jab khud karo kuchh
Apne tree ki daalo dp whats app pe
Climate change ho raha hai
Vata-waran ro raha hai
Paani upar aa raha hai
Apna aapa kho raha hai
Chalo saare milke nikaale koi hal
Akhir apne bachcho ko bhi dekhna hai kal
[Hook - RaftaaR]
This is for maa mother nature
This is your maa mother nature
This is for maa mother nature
This is your maa mother nature (x2)
Mother Nature was written by Raftaar.
Mother Nature was produced by Raftaar.
Raftaar released Mother Nature on Tue Aug 25 2015.