[Kasha]
Meri life meray apne meray dost
Mera mic meray sapne meri soch
Deen duniya se dur
Hogaya main majboor
Aankhein num nashay mein hum to choor
Duniya mujhko bhaar hee nahin
Main to gaa raha tha mujhko yeh khaar hee sahee
Log detay thay mujhko taanon pe taanay
Maine gaanon pe gaane inke moo pe thay maare
Woh chalte thay aagay hamaray
Main peeche se karta tha unke nazaaray saaray
Mujhse milne ko aatay
Moo pe woh bhai peeche karte woh baatein
Rub zamana saara jaali
Mujhko duniya mein nahin rehna
Mujhko duniya se utha le
Rub zamana saara jaali
Mujhko duniya mein nahin rehna
Mujhko duniya se utha le
Mujhko duniya se utha le
Meri life meray apne meray dost
Mera mic meray sapne meri soch
[Salar Shamas]
Yeh shakalein purani hain
Jaani pehchaani hain
Baatein suno ab tum
Yeh zindagaani
Jo maine seekha hai
Sub in se samjha hai woh
Banta bara hai jo
Dil se bacha hai woh
Lagtay jo bhi yeh woh nahin
Agar sub ke oopar khuda hai
Kyun bhooka koi marta hai
Kya paagal hain sub, hai yeh ajab
Kyun banda se banda larta hai
Kyun karta hur koi nasha hai
Kar marzi aur milti saza hai
Hur dosti ke peeche wajah hai
Gum hain hum sub hee khud mein
Meri life meray apne meray log
Mera mic meray sapne meri soch
Mujhe rok
Mera roz ka kaam
Thora gor farma
Poori fauj hoon main ek banda
Teri soch teri soch
Mujhe Rok
Thora shor macha
Kisi aur ko bula
Ho London ya chahay Lahore
Meri Soch was written by Salar Shamas & Kasha.
Meri Soch was produced by Richie Beatz (USA).