[Verse 1]
Raat ke sare 4 ana sar pe sawar
Overtake karde koi to phir shuru hojati kahr
Ghar pe maa bhi bemaar callein arahi lagatar
Ghar pe jaldi aaja beta subah jana hai humai bahar
Bs 5 minute 10 minute tal raha mai batein
Hum 4 baje roll krne do dariya ja rahe
Ghar chor de jaani ajj scene mera off hai
Pr bolun ye kaise bharam tootne ka khauf hai
Ameeron ka shehar hai ghareebon ki khair hai
Hawa mai insaaf nhi bs aisa ye shehar hai
Humare liye [?] tha ilaka bhi ghair tha
Chot hai ya maut hai agar 5 minute bhi thair ta
Akar mai ragad de larke sab kattar se chakkar mai parhte nhi
Sir khulte pathar se gharwale shak krte tipple pe 70 pe
Anna ko thais pohonche hum bhi phir takkar dein
Baap unchi flight to phir 2 3 ka dhale mai
Mou mari shuru to ragrde mai dalenge
Dashboard mai crystal hathon mai pistol
Thaney mai setting woh jaan leke hi manenge
Katne ka scene karo larna nhi hai
Piche hatne ka scene agay badhna nhi hai
Aby chor aleem chor inse darna nhi hai
Mujhpe ghar ki zimmedari mujhe marna nhi hai
Woh power mai tagrde hum mouton ko chakhre
Maazrat pe baat aagyi compro mai nakhre
Ghalti pe hoke bhi galiyan woh bakre
Aye khuda tu aaj rat bs laaj meri rakhre
Thokar to parhni thi thokar to lazmi thi
Thokar nhi parhti to akal nhi aani thi
Kitno ko maazi mai liya tha ragde mai
Makafat e amal sahi mainey mai chakhre they
Konse contacton pe konsi pr
Kaun kiska dost aur kon kiska yaar
Ird gird gand dekhein badal te we rang dekhe
Us din se pasand mujhe 4 deewar
Shehar mai mukbar jal bichhaye khabri
Unity ghayab aur larkay sab khabri
Hum haq pe hain larkon koi baat nhi hai risk ki
Par paison ke agay insaniyat hi pisti
Insaniyat hi bikti hai quaid k aagay
Hum us raat shehar mai sirf wahid they jaagay
Salamat mai pohonch jaon maa parh rahi rakatain
Maa afsurda dekh ke ye shehar ke khakay
Seedhi baat mou pe hath parda fash
Terhi baat mou pe laat hawalat
Sare 4 [?] sawalat
Bara baap call pe saab challan maaf
Hai aiteraaz kyun ke ghanta insaaf
Mujhe maaf krne wala sab se khaas
Baqi sab zinda lash
Baqi gawah itehaas jisne kari hai bhalai woh to zinda hi nhi aaj
Is gaane k baad shayad zinda na rahu
Tu gawah bs rehna baatein jo kahun
Palay barey hum bhi in sarkon pe jaani
Kitno ka behta wa dekha hai lahu
Mai aaj kuch na kakhun to kal kaun kahega
Ziadti hui saamnay to chup hi rahega
To kaise tu dekhta hai kal apna acha
Jab badmashi kar rah hai 8 saal ka bacha
Meray sath mat khel mai pala bara yahin par
Jaa ke tu [?] baith ta tha wahin par
Apne hi haath to ye lende pari lakri
Phir kehtey hain jaani tu aisa to nhi kar
Ab bol larkay, ankhein khol larkay
Tune kamay woh paise kyun jhol krke
Ab bol lrke baatein gol krke
Tune bitayi ye raatein kyun roll krke
Raaz khol lrkay teri soul bharkay
Jab bhi nikalta highway tu toll bharkay
Mujhe khauf larkay deti roz sarkein
Phirbhi baith ke us cahpter ko close krte
Beta baap pe nhi teray koi lakhon key cheque
GTA nhi duniya hai cahltey nhi hack
Dekhke mujhe khush ye zamana jal ta hai
Chalana hai ghar tou kamana to parhta hai
Har aik baar mai spit kara fact
Charon hi angle se lrke ye wack
Soja tu abhi ya lele tu nap
Phir uthke tu lena ye REALITY CHECK
[Music]
Makafat e amal was written by aleemrk.
Makafat e amal was produced by aleemrk.
aleemrk released Makafat e amal on Fri Jan 01 2021.