Lyrics :
[Verse 1]
Hindustan ka beta hoon mai, Bharat meri maa hai
Kashmir se Kanyakumari tak, faila mera gaon hai
Purkho ke raqt se, lete sab sans hai (han)
Mata Pita har janam mai, tumko hi pau
Hindustan ko haste mai, dekh toh pau
Khush rahe han sabhi, shehar aur gaon
Koshish hai parivartan, geet se lau
Raqt se latpat kardun, shabd-bol ye goli mere
Wo haath saare ghayal kardun, maa pe jo uthe the tere
Bhukhe nange waha rahe hai so
Shaadi me dekho inke kaharche toh
Marte jo, tan par kapde do
Hai nye , kuch karte toh
Wo bande log, jo hai andhe log
Rokhte kuch karne ko
Par mai karta wo, jo mere mann me ho
[Verse 2]
Pete zeher wo, jaise ho paani
Ek ya do nahi, hazaro raani
Kharche bade dekho, jaise Ambani
Jeb hai bhaari, toh lepata honey
Anshan par baithke han, dete hai dharna
Mujhko toh aata likhna, bas wahi hai karna
Bematlabi baaton se na, kabhi tu darna
Divine ke baad desi, sunna tu Karma
Baaton ko molta, shabdo ko tolta
Darr hai samaj ka, Jhut kyu tu bolta (han)
Ek ya do hai jo, satya rah pe chalte
Uthate jo parda, aur raaz ko kholta
Hindi ke thoughts ko wo, angrezi me bhaunkta
Baatein hai dil ki par, paiso ki sochta
Matlabi duniya me han dost ye khojta
Dost hai ek-do but option toh bohot tha
[Verse 3]
Option toh bohot tha, par khud ko mai rokhta
Asli aur nakli ke farak ko mai sochta
Sochta bohot aur khayalo me khota
Bully ke qisse han, sunna bhi shock tha
Wo maarne ko aate aur unka hi raub tha
Ek akela na hinsa ka shauk tha
Haatho me bal aaj shabdo ki shola
Chota hai bete tu haatho se bola
(Music)
Chota hai bete tu haatho se bola
Shabd ghuma ke kahen kuch bhi baatein
Aata nahi khudko dete salahein
Baaton me dam chodo (ye) insaan hi naa hai
Na jaane ye, likhkar bitaaye ham raatein
Kam khaake...
Kam sooke...
Likhe Rap