[Chorus]
Jaana, tu aata nahin
Sapno se jaata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Qaamil ho jaata wahin
[Verse 1]
Jaana, mere sawaalon ka manzar tu
Haan, main sookha sa, saara samandar tu
Haan, gulaabi si surkhi jo dikhti thi
Phir se dikh je to jee bhar ke saans bhar loon
Kaati kitni thi raatein, nahin soya main
Tujhko kitna bulaya, phir roya main
Teri saari wo baatein kyun sone nahin deti
Sataaye mujhe, haan, phir khoya main
[Chorus]
Tu aata nahin
Sapno se jaata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Qaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko bataata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Qaamil ho jaata wahin
[Instrumental Break]
[Verse 2]
Sambhaal ke rakha wo phool mera tu
Meri shayari mein zaroor raha tu
Jo aankhon mein pyaari si duniya basaayi
Wo duniya bhi tha tu, wo lamha bhi tha tu
Haan, lagte hain mujhko ye kisse sataane
Deta na dil mera tujhko bhulaane
Adhoore se vaade, adhoori si raatein
Ab hisse mein daakhil mere bas wo yaadein
[Pre-Chorus]
Rehna tha ban ke humdam tera
Aisе jaana hi tha, phir tu kyun thehra?
Ab na maane mera dil kе na tere qaabil
Thi ik aarzu ki main kehta raha, par
[Chorus]
Tu aata nahin
Sapno se jaata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Qaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko bataata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Qaamil ho jaata wahin
Genius-romanizations released Kushagra - Finding Her (Romanized) on Wed Jan 29 2025.