Lately, my mind has been occupied with confusing thoughts about the society, human nature and the way this world functions. Finally managed to pen it down.
Kahaani teri meri dono ki same hai
Aim sabke wahi chaiye money or fame hai
Khushiyon ke sab hi bahaane le kar baithe hai
Poocho jaa kar unse kya yahaan pe real game hai
Real ya fake sabhi same hi baatein kahe
Clarity kisi ko na reality kya khaak kahe
Parity dikhe na equality ki raakh kahe
Online ye bole sab offline kyu shaant khade
Shaant khade kyunki apne ki naa jaan jaari
Shaant khade kyunki apno ki jaan pyaari
Shaant khade kyunki sab par hi sward bhaari
Hypocrite sab ye show off bane khilaadi
Sabko hi yahan par dikhe badi picture hi
Lead role maange sab kisi ne na par script padhi
Sahi ya galat mein farak kya hi keh loge
Karne waale ko baat uski hi sahi lagi
Sahi lage jo kare sukh dukh mein
Samaaj ke sune kya jab sabhi to berukh hai
Chalaye ghar apna ya soche tere baare mein
Kya soche tere baare jab sabhi to yahaan boott hai
Kitabon mein ethics ye morals sab padha hai
Par use in reality, befkufi saza hai
Statements narratives pe game saara chala hai
Kehte kuch galat par wo bhi to kala hai
Haan kala hai jo baithi kuch ke hi haath mein
Wo kuch hi log bus kuch pe hi dhyaan den
Munafa dekhe apna jiye abhiman mein
Gumaan mein fire rehte wahi insaan hai
Janama kaun kaha na kis ke haath mein tha
Par humne bola ki wahi to tera bhagya tha
Bhoot tha tera jisse ban na tera vartman
Bhavishya bhi fix ab yahi hai teri pehchaan
Jaan pehchaan se fir zindagi ki road bani
Mila mukaam fir jo struggle story khud buni
Tamaasha dekhe sab kala bhi kahi maun khadi
Karm ki baat kare uski bhi dedi bali
Balidaan se naa yahan sab khush par
Jo baithe on top wo kiye jaare hai push bus
Bhare hain haath dono mann na santusht par
Laalach lalaas lobh lage ankush kab
Tere mere bhi na jyada kuch fark ab
Fark bus iss baat ka kaun kaha kis waqt par
Mauka milne pe hai soch kitne hat kar
Dignity pride stand liya tha kab dat kar
Khud se chhote ko bulaya tha kab hass kar
Khud se bade ko bulaya kab bin matlab
Maqsad pta na par gyaani yahan dar dar
Confused hai mind mera darre ab ye har pal
Sawaal jawaab mein ghira bana hai dal dal
Saral na life, sab kuch yahan messed up
Kala ki gehrai samajh se bhi paar hai
Banane waale ne bhi kaisi rachdi ye KUDRAT
Kudrat was written by XR (Rapper).
Kudrat was produced by Khronos Beats.
XR (Rapper) released Kudrat on Wed Jul 22 2020.