[Verse 1]
Khra hun aaj main jahan pe wahan main kal nahi
Par nahi tha socha ye Maine jahan pe aaj ye ghar nahi tha mera kya rab nahi tha
Aaj bhi khra main road pe hath main cigarette aur soch raha Apny khyaalon main kon hun main kon hay tou kon hay jism aur kon hy rooh
Kon hay mery ye ander aur mery ye bahir Jo mujh sy hi aaj tak chupa hy
Sach main bolun to mera khuda bhi aaj mujh sy thora khafa hy
Pochu main khud sy ky Maine kya bura kiya hy
Na Maine kisi ko dafa diya hy
Kabhi na kisi dil tora hy
Par ye aaftain mery hi sar pe aarahi
Aur jaa rahy wo saary mujh sy dor jin ko pyaar kiya
Eitbaar kiya
Aur pyaar ka jin sy izhaar kiya
Qraar kiya tha apno sy apno ny hi mujhy chor diya
Bhula diya
Aur gaar diya
Main khaak sy bna tum khaak sy bany
Jo kaaly hain kya wo hain aag sy bany
Ye racism ki had hy jaani
Ameero ky bachy bay daag sy bany
Wo artist aur hum miraasi bany
Khaalis hum hain
Aaqil hum hain
Kaamil hum hain
Aalim hum hain
Phr bhi soch samjh main hum kam hain
Aaj bhi gham main
Puraani soch khyaalon main ghum main
Aaj bhi apny dam pe
Khra hun jaani
Khud sy laru ky likhu kya ab es ghum main
Pehly Jo kam tha ab na kam hay
Ye bhi 1 fun ayy
Khud sy lar raha Jung main
Khud sy ho gya tang main
Khud sy ho gya dhang main
Bana Malang main
Jana ky dunia ky bohat sy rung hain
Jana ky dunia main achy log kam hain
Jana Ky mujh main bhi thora dam hay
Lekin ye kam ay
Badly main log kya kahengy
Soch ko badlo wo kaam hy un ka
Bolty rahain gy dekhty rahain gy
Kaam hum apna phenkty rahain gy
[Chorus]
Meri Jung apny khud sy
Alif aiyn main bhi nukty
Samjh paya nai main dunia ko
Choti soch bary rutby
[Verse 2]
Aaj bhi dekho main yehi Jo bikta hay wo dikhta nai jo likhta hay wo bikta nai aur meri samjh main ye tikta nai
Aaj bhi likhny Jo bethu to samjh main meri ye baat na ayy
Kyy kya likhaari sab krty jayy
Bs apni tareefon ky phool bandwayy
Mery samait main khud nai kehta main best hun na main koi rap god na main koi guest hun
Lekin main Jo hun khud sy bna hun
Main nai kehta ky main en sab sy bara hun
Phr bhi khra hun apny pairon pe
En sab ky peechy to nahi main para hun
Apno ki baatain nai gairon sy kr raa hun
Chahy main khud main mar raa hunmunafiqat dor hay mujh sy
Likhai ka koi garoor nai mujhy
Urdu adab pe uboor ayy mujhy
Tanhai sy shaadi qabool ay mujhy
Samjhty ye cool ayy mujhy
Gham ki peti utha ky chal para rasto pe jin ka nai pata tha mujhy
Kuch Kehty fazool ayy mujhy
Lekin ab waqt nai pass halaat hain achy
Jab waqt tha pass halaat nai achy
Main sham ko betha bazargoon ky pass Jo kehny lagy Bhai samaaj nai achy
Thora sa main nai acha thory sy aap nai achy
[Chorus]
Meri Jung apny khud sy
Alif aiyn main bhi nukty
Samjh paya nai main dunia ko
Choti soch bary rutby