(Hook)
Munawar luta har baar par wo sikhta nahi hai
Munawar tuta kai baar tuta dikhta nahi hai
Naseebe likh diye hai dard likhne wale ne
Munawar jaisa kagazo pe dard fir bhi koi likhta nahi hai
Soche Hara Itni Baar Fir Bhi Rukta Nahi Hai
Bechu Dard, Ke Imaan Mujh Se Bikta Nahi Hai
Ruth Baitha Yaha Dekh Khud Ke Saaye Se
Karde Maaf, Kya Afsos tujhko Dikhta Nahi Hai?
(Verse 1)
Karu neki kya joh farz hi adaa nahi
Gir ke jana yaha koi bhi sagaa nahi
Takaa hain sab me main laut ke jau kahan
Ghar pe intezaar karne wali maa nahi
Ek waqt tha main rota tha kabr pe baith
Ek waqt maine raate kaati khali pet
Andhare dekhe, par haraa na ummeed main
Aaj waqt dekh main banke baitha sabka seth
Mashhoor naam mera khud se hi anjaan main
Kasoorvar aisa khud ki lelu jaan main
Woh din the behtar jab sota tha main khali pet
Aaj bade ghar me khaata hu akеle baith
Nahi yaad kab main soya tha sukoon se
Panah mange pannе likhta hoon khoon se
Khud se rutha itna toota main hu jhootha aaj
Mehfilo me main milunga sabse jhoom ke
Dede nind mujhe asar nahi dawao mein
Thaka hoon duniya se tu le mujhe panaho mein
Barsaa raha khuda aaj mujhpe itni rehmat
Main badnaseeb fir bhi dubta gunaho mein
Lagaa hua yoon dekh duniya ko hasane mein
Likhu main shayari woh dard ke fasane pe
Bhale hi aate hai hazaaro meri mehfil me
Yeh bheed chahiye mujhe mere janaaze pe
(Hook)
Munawar luta har baar par wo sikhta nahi hai
Munawar tuta kai baar tuta dikhta nahi hai
Naseebe likh diye dard likhne wale ne
Munawar jaisa kagazo pe dard fir bhi koi likhta nahi hai
Soche Hara Itni Baar Fir Bhi Rukta Nahi Hai
Bechu Dard, Ke Imaan Mujh Se Bikta Nahi Hai
Ruth Baitha Yaha Dekh Khud Ke Saaye Se
Karde Maaf, Kya Afsos tujhko Dikhta Nahi Hai?
(Verse 2)
Mere aane pe chupate ye darr sa chehra
Saare matlabi hai aaspaas yakeen se keh raha
Sharam se dubenge saare kalam se meri ye aaj
Beta Iqbal ka hain likhta samandar se gehara
Mehnat hai meri toh phal main inko kyu du
Rehamat kar teri to layak main khood bhi nahi hoo
Yakeen hi nahi jo mila khuda tere dar se
Yakeen hai dua ke badale yeh sab kar raha tu
Chumte haath hai banke yeh mureed saare
Jhoomte saath yeh sun ke mere sher saare
Dher saare joh khade the khilaaf mere
Aaya sher ab bhagenge yeh bhed saare
Gurur nahi main sar jhukke chalta hu
Kur nahi main bando se nahi darta hu
Dushmano ko khush kardo deke ye khabar
Zinda bahar main andar roj marta hu
Nikla leke kandhe pe kitne boz mere
Sadke jaan ke nikalte hai roj mere
Utaara gaya tha jaleel karke stage se
Aaj FanFest lagte hai shows mere
Jal rahe hai kagaz dekh meri likhayi ko
Dard leke ladta jaise koi sipai ho
Main bhoolu kaise woh bhookhi maa ki siskiyan
Uske baad nahi yaad sukoon se ek roti khayi ho
Main shayar jo sher saare sawa rakhta
Main hoon woh marz joh khud ki hi dawa rakhta
Dawa hai meri sajde me khud ko heal karta
Gawah hai khuda mera kaise sabse deal karta
Khada bulandi pe khuda ka lakh shukr karu
Amal khaas nahi toh akhirat ki fikr karu
Usko pasand hai shayad mera tutana
Musibat bhejta hai taaki uska zikr karu
(Hook)
Munawar luta har baar par wo sikhta nahi hai
Munawar tuta kai baar tuta dikhta nahi hai
Naseebe likh diye hai dard likhne wale ne
Munawar jaisa kagazo pe dard fir bhi koi likhta nahi hai
Soche Hara Itni Baar Fir Bhi Rukta Nahi Hai
Bechu Dard, Ke Imaan Mujh Se Bikta Nahi Hai
Ruth Baitha Yaha Dekh Khud Ke Saaye Se
Karde Maaf, Kya Afsos tujhko Dikhta Nahi Hai?
Khawab was written by Munawar Faruqui.
Khawab was produced by DRJ Sohail.
Munawar Faruqui released Khawab on Sat Aug 20 2022.