Kisne banaya akhir parvaton ko
Sitaron se baatein jo karte hai
Kisne banaya hai nadiyon ko
Aainon men jiske badlein baste hai
Kisne sajaya hai phoolon ki
Khushbuon se, gulistaney is dharti par
Kisne banaya hai bhavron ko
Masti men jhoome toh shahad ki barfi hai
Kitni rangeen hai sooraj
Aur kitni sureeli parindo ki boli hai
Baarish ki boondein zameen pe
Aur asaaman pe ek haseen rangoli hai
Barfile chadar ko odhe
Woh pathar bhi andar se utna hi zinda hai
Kirnon ki binduon ko jodne se
Akash men behti ek ganga hai
Kisne banaya samandar ko
Lehrein ki bhasha men ghazle sunata hai
Shitij ke mandap pe mehfil basakar
Har raat ko subah, dikhata hai
Kisne nawaaza bahaaron se
Vaadiyon ko bhi muskaate jo dekhe hum
Aur jisne banai hai chandni
Shayad woh kumudniyon ke hi khaatir ho
Kiski badaulat mohabbat
Aur kisne bataya judai kya hoti hai
Sangeet jo suron ki beech ki neeravta
Seepon ko khole, toh moti hai
Kisne jagaya eshsaason ke jharne
Jo Nazmon ke jungle ugata hai
Banjarepan ko panaah
Aur Waqt ke pahiye chalana sikhata hai
Kaun
Tu hai Kaun
Tu hai Kaun
Tu hai Kaun
Kisne hai kheenche lakeerein ko
Dilon ke beech, deewaaron ka kehna hai
Kaun hai dhani aur kya hai gareebi
Aur paison se kya unka nata hai
Kisne banai imaaratein, alishaan
Jisme koi nahi rehta hai
Sheheren hai bhuki vikas ki
Bhuke pet koi sadkon pe sota hai
Kiski paidayish hai nafrat
Jo lalach ke chakkar mein khoon ke pyaasey hum
Kisne banaye usoolein
Jo beta baap ko hi marne ko raazi hai
Kiski majal aur kiske mashaalon ne
Aag lagaya hai Aman ko
Kiske hai aavishkaron se havao me
Zeher, tezaab ki baarish lo
Kya hota khoobsurati
Jo bahri dikhavon ka natak hum karte hai
Tasveeron men sach ko badalte
Aur apne akele jo kone men sadte hai
Kya hai woh kalakaari
Jo hai gatiheen apne muh miya mithoo hai
Akhir men kya hai woh saahas
Aashvasan mein aalas ke kho baitha chamak hai
Kisne hai kari silayi
Jo kapade aakarshak par soch men ched hai
Kiski hai kursi atoot
Nibhaney se bhaage par vaade anek hai
Kisne banaya shabdon ko
Jo khamoshiyon ka bhi arth nikalta hai
Kisne bichaya in prashno ko
Uttar pe uttar par uttar nahi dikhta hai
Kaun
Tu hai Kaun
Tu hai Kaun
Tu hai Kaun