*** [Intro] ***
[Female]
Is mod se jaate hai, Is mod se jaate hai
Kuch sust kadam raste, Kuch tez kadam raahe
Is mod se jaate hai
Kuch sust kadam raste, Kuch tez kadam raahe
[Male]
Patthar ki haveli ko, Sheeshe ke gharondo mein
Tinko ke nashe-mann takk, Is mod se jaate jai
[Female]
Aa-aa-aa-aa, Is mod se jaate hai
*** [Verse 1] ***
[Female]
Aandhi ki taraah udkar, Ik raah guzarti hai, (2)
Sharmaati hui koi, Kadamo se utarti hai
Inn reshami raaho mein, Ikk raah to woh hogi
Tum takk jo pohochti hai, Is mod se jaati hai
*** [Chorus/Bridge] ***
[Female]
Is mod se jaate hai...
*** [Verse 2] ***
[Male]
Ikk door se aati hai, paas aake palat-ti hai, (2)
Ikk raah akeli si, rukti hai na chalti hai
[Female]
Yeh sochke baithi hoon, ikk raah to woh hogi
Tum takk jo pohochti hai, Is mod se jaati hai
[continued to Chorus]
*** [Chorus] ***
[Female]
Is mod se jaate hai
Kuch sust kadam raste, Kuch tez kadam raahe
[Male]
Patthar ki haveli ko, Sheeshe ke gharondo mein
Tinko ke nashe-mann takk, Is mod se jaate jai
[Female]
Aa-aa-aa-aa, Is mod se jaate hai
Is Mod Se Jate Hain was written by Gulzar.
Is Mod Se Jate Hain was produced by Gulzar.
Lata Mangeshkar released Is Mod Se Jate Hain on Fri Feb 14 1975.