Download "GOODA"

GOODA by Fotty Seven

Release Date
Wed Nov 20 2019
Performed by
Fotty Seven
Produced by
Fotty Seven
Writed by
Fotty Seven

GOODA Lyrics

Yaad hai mujhe khade the saath kaun
Jyada nahi bas khali 6-7 dost
Unme se bhi chhod gaye ek aadh toh
Aaj mujhe jaante hai ek Lakh log(Wooh)

Aadhe bhai sahab bane bhai saanp
Aadhe bole maai-baap, You’re my baap
Aaj saare soche bas meri hi bhalayi ka
Bandiyan bhi puche “Kya aap khayenge malai-Chaap?”
Jinhe pahle lagta tha ganda main
Par jabse badhi meri janta hai
Pahle bolte the “Khol denge sar”
Bolte hai sar bhole ka fan tabhi bole mere bomb
Rap sunne wala mera pankha
Kyunki kaam tere bhai ka hai dhang ka
Mere aane ki toh naubat nahi padti
Mere fans hi laga dete lanka
Naaz hai mujhe mere ladkon pe
Naaz mujhe har ek fan par hai
Naaz hai mujhe meri maa pe
Jo bolti hai shaan se ki “Mera beta Rapper hai”
Koi uski copy, koi iski copy
Sab ghinste pencil maine ghins di copy
10 wala pen aur 20 ki coffee
Haalat inki kari chai mein doobe buscuito si
Ab ye dekhe mujhe bhaage rakh ke sar par pair
Mud ke na dekhenge na ghar tak ye
Mere kaagach mere shabdo se lath-path hai
Mic kara load fir Rap maara khat-khat main
Shortcut se milti nahi jeet
Mil bhi gayi toh phir milti nahi seekh
Mere naam pe inhe milte hai views
Jaise Allah ke naam pe milti hai bheekh
Ye saale padi lakdiyan lete
Karma cheej tagdi hai bete
Izzat kamayi hai, haath mein nahi mili
Khairaat mein nahi mili, maine ragdi hai bete

Gooda hai?
Tujhe duniya hilani hai. Gooda chahiye
Gooda hai?
Tujhe naam banana hai, Gooda chahiye
Gooda hai?
Kuch karna hai alag toh, Gooda chahiye
Gooda hai?
Tujhme gooda hai?

Tune bol diya sabko main karun kaam galat
Tujhe laga main girunga, tera anumaan galat
Tere shehar mein aag hai
Mere gaano ki bhai tera Hanuman bhagat

Log sadne lage hai, bekhaam mein hi
Kyunki asli body, asli views
Kara kabhi fake kaam nahi
Bhai tera theth aadmi humble hoon
Banta nahi seth aadmi

Phone mera chhota wala Motorola aaj bhi
TV pe jo aaya kari Delhi wali baatcheet
Call kare log mujhe jaise baje 4:20
Pooja mein nahi baitha toh phir milega parshad nahi
Jisne kabhi share kare nahi mere gaane
Aaj mujhe milne ka bahana banate hai
Top pe jo baitha hai industry mein bola mujhe khud se unhone
“Aaja gaana banate hai”
Tab jaake laga mujhe ban gaya kuch
Hate karne walo ko ghanta na dun
Jaahan padi jarurat Label aur teamo ki
Bhai tera kaam saara kar gaya khud
Gaadi bhagegi aab tabadtod
Bohat hard nahi full power bol
Saare lage abhi dahi jamaane mein
Duniya hi hai saali maakhan chor

Meri budhi ulti, sulgi halki phulki
Minute nahi lagaunga main hone mein main physical
Rap ke liye maine chhoda hai sab kuch
Beech mein aaya toh main chhodunga nahi kisi ko
Sapna ye sone nahi deta
Baaki saare kaam mere hone nahi deta
Mehnat ye chalti hai Mangal se Somvaar
Jis din main jeetunga us din main soyunga

Jo Raheem uttam prakirti ka kari sakat kusang
Ye Delhi, Haryana ya seedhe reedh pe padhe ghusand
Har din ka padega mera daam
Tu ginta rahega mera kaam
Kal ko agar main mar bhi gaya
To bhi jinda rahega mera naam 47 hai

GOODA Q&A

Who wrote GOODA's ?

GOODA was written by Fotty Seven.

Who produced GOODA's ?

GOODA was produced by Fotty Seven.

When did Fotty Seven release GOODA?

Fotty Seven released GOODA on Wed Nov 20 2019.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com