Gardishon K Hein Maray Hoay Na, Dushmanon K Sataye Hoay Hein
Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein
//Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein (Chants…)
Ishq Ko Roag Maar Datay Hein, Aqal Ko Soag Maar Detay Hein
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta, Dosray Loag Maar Daitay Hein
//Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein (Chants…)
Loag Kaanton Say Bach K Chaltay Hein, Hum Nai Phoolon Say Zakhm Khaye Hein
Tum Ko Ghairon Ki Baat Kartay Ho, Hum Nai Apnay Bhi Aazmaye Hein
//Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein (Chants…)
Kasa-E-Deed Lay K Dunya Mein, Mein Nai Deedar Ki Gadaye Ki
Meray Jitnay Bhi Yaar Thay Sub Nai Hasb-E-Taufeeq Bewafai Ki
//Jitnay Bhi Zakhm Hein Meray Dil Per, Doston K Lagaye Hoay Hein (Chants…)
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
Tumhein Dekha To Zahid Nai Kaha Eeman Ki Ya Hai K
Ub Insaan Ko Sajda Rawa Honay Ka Waqt Aaya
//Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
Ay Mast-E-Naaz Daikhnay Walo K Dil To Daikh
Pamal Ho Ga’ay Teri Raftaar Daikh Ker
//Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
Giraya Giraya Haat Say Sheesha Surahi Tour Di Mein Nai
Sharab Seekh Pay Dali Kabab Sheeshay Mein
//Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Chants…)
In Aankhon Say Qayamat Ki Nishani Kaun Daikhay Ga
Buth-E-Kafir Teri Uth’ti Jawani Kaun Daikhay Ga
//Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat (Ma Pa Da Ne Da… Vocables)
Jab Say Dekha Tera Qudd-O-Qamat, Dil Pay Tooti Howi Hai Qayamat
Her Bala Say Rahay Tu Salamat, Din Jawani Kay Aaye Hoay Hein
//Aur Day Mujh Ko Day Aur Saaki (Chants…)
Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq-E-Deed Mitay
Sharab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray
//Aur Day Mujh Ko Day Aur Saaqi (Chants…)
Apne Dil-E-Sadchak Ko See Sakta Hoon, Mehoom-E-Karam Ho K Bhi Ji Sakta Hoon
Mauqof Nahi Jaam Pay Rindii Meri, Saki Tere Ghussay Ko Bhi Pi Sakta Hoon
//Aur Day Mujh Ko Day Aur Saqi (Chants…)
Aur Day Mujh Ko Day Aur Saqi, Hosh Rehta Hai Thora Sa Baqii
Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Para’ay Hoay Hein
//Aaj Talkhi Bhi Hai Intiha Ki, Aaj Wo Bhi Para’ay Hoay Hein
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay (Chants…)
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay (Chants…)
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay (Chants…)
Kal Thay Abad Pehlo Mein Mairay, Ub Hai Ghairoon Mein Dhere
Meri Mehfil Mein Kar K Andhere, Apni Mehfil Saja’ay Hoay Hein
//Meri Mehfil Mein Kar K Andhere, Apni Mehfil Saja’ay Hoay Hein
Apnay Haathon Say Khanjar Chala Ker, Kitna Masoom Chehra Bana Ker
Apnay Kaandhon Pay Ub Mairay Qatil, Meri Mayyat Utha’ay Hoay Hein
//Apnay Kaandhon Pay Ub Mairay Qatil, Meri Mayyat Utha’ay Hoay Hein
Mehwashon Ko Wafa Say Kia Matlab, In Butoon Ko Khuda Say Kia Matlab
In Ki Masoom Nazroon Nay Nasir, Loag Pagal Bana’ay Hoay Hein
//In Ki Masoom Nazroon Nay Nasir, Loag Pagal Bana’ay Hoay Hein
Gardishon K Hein Maray Hoay Na, Dushmano K Sataye Hoay Hein…
Gardishon K Hain Mar’ay Ho’ay Na Lyrics-Nusrat Fateh Ali Khan was written by Nusrat Fateh Ali Khan.
Gardishon K Hain Mar’ay Ho’ay Na Lyrics-Nusrat Fateh Ali Khan was produced by Nusrat Fateh Ali Khan.
Nusrat Fateh Ali Khan released Gardishon K Hain Mar’ay Ho’ay Na Lyrics-Nusrat Fateh Ali Khan on Tue Feb 10 1981.