Waqti(temporary) nazdeekiyan, fir wahi dooriyan hai
Main tujhme kaid, meri lakeeron se tu riha hai
Kaisi majbooriyan hai, ke shab-e-vasl(night of union) me bhi
Darmiyaan(in between) barkaraar, jaana ye dooriyan hai
Kyun nahi baithti tu aake mere paas me
Kyun teri aakhen keh rahi tu mujhse naraaz hai
Badi muddaton(time period) me kam hue hain faasle
Badi muddaten kati hai tere aasre Toh
Chhod sharam chhod jhijhak chhod naraazgi
Aakar gale lag aur fir bol kyun naraaz thi
Aa baith sun meri ghazal jo tujhe waqf(dedicate) kari
Tu bhool jaaegi tu kyun mujhse naraaz thi
Ab log pooche meri khamoshi ki wajah
Ghairon(others) se baat meri jaan tujhe na raas(agreed) thi
Hijr(separation) ke saath de gaye likhne ki sazaa
Ek bhi ghazal nahi jisme na aayi baat aapki
Likha andheron me ye raatein meri gawaah hai
Naata saweron ne nahi rakha mujhse khafa hai
Ab mile hain toh le chal door mujhe jahaan(world) se
Aanchal se odh mera marham kar koi dawa de
Jeene ki wajah de, ya khud me sama le
Wo teri ada mujhe chhupana wo jahaan se
Ab tu hi bata teri, ye kaisi raza(desire) hai
Milne pe marham jaane pe phir ghaav laga de
Wafa kare pr ye raaz mujhme kholti nahi
Sun na nahi pasand mujhe tu bhi zaada bolti nhi
Andhera odh leta, khud hi ko dosh deta
Saaya tak chhod deta saath pr tu chhodti nahi
Wafa ka diya(lamp of faithfulness) mera ek pal bhi bujha ho na
Jo tujhse dagha karu agli meri subha ho na
Tere baad kalam aise likh na paaegi
Mera zawaal(downfall) hoga tera mujhse judaa hona
Dooriyaan was written by M.s.N.
Dooriyaan was produced by jxsie beats.