[Verse]
Chand Log Kuch Gulabon Ke Sath
Khade Dar Par Mere Ahbabon Ke Sath
Dil Kaale Huey Daago Ke Sath
Mujhe Dafnana Chahte Mere Kwabon Ke Sath
Mai Bhi Kuch Hisabon Ke Sath
Rukhey Muh Baat Banti Nahi Sharabon Ke Sath
Meri Shayari Hi Ab Mera Pet Bharegi
Warna Ghar Mai Padi Taurus Kitabon Ke Sath
Yeh Ilm Hi Alag Hai
Hum Toh Seekhe Huey Jeete Huey Haar Ke
Mujhe Janney Ka Haq Hai
Kon Kitna Behis Haq Khaye Haqdar Ke
Kaisi Karni Ayadat
Jab Na Ban Sakey Sagey Tum Beemar Ke
Baatein Itni Ba Mainey
Hum Jaise Aaye Puri Zindagi Gujar Ke
[Hook & Chorus]
Do Dawa Zakhmi Inhey Do Dawa
Do Dafa Mujhpe Lag Chuki Do Dafa
Do Shaam Do Raat Aur Phir Do Subha
Duwa Bhara Kamrеy Main Do Hawa
Do Yaar Mere Khush Aur Do Khafa
Main Yario Mai Dekhta Ni Ho Nafa
Ab Tumhi Log Mеre Baney Ho Gawah
Ab Tumhi Log Saath Mere Ho Sada
[Verse]
Music Mere Liye Imtehan Ki Tarah
Kuch Dard Bhare Khat Jo Saman Ki Tarha
Aur Jo Saath Baithe Bhai Woh To Jaan Ki Tarha
Aaj Mai Bhi Dekh Upar Aasman Ki Tarha
Seena Chauda Lekar Khada Hoon Chattan Ki Tarha
Mera Kalam Bhi Chale Meri Zubaan Ki Taraha
Ab Bus Rehna Chahta Paak Ramadan Ki Tarha
Duniya Bichi Agey Mere Mezbaan Ki Tarha
Tabhi Mujhe Mere Log Hi Toh Sunte Hai
Aur Tujhe Tere Log Hi Nahi Sunte Hai
Aur Tujhe Tere Dost Bhi Nahi Sunte Hai
Aur Tujhe Kisi Roz Bhi Nahi Sunte Hai
To Darr Kis Baat Ka
Ab Maut Nahi Mehman Khatrey Se Bahir
Slumdog Millionaire Kachrey Se Bahir
Tum Kuch Bhi Nahi Ho Ik Katrey Se Bahir
[Hook & Chorus]
Do Dawa Zakhmi Inhey Do Dawa
Do Dafa Mujhpe Lag Chuki Do Dafa
Do Shaam Do Raat Aur Phir Do Subha
Duwa Bhara Kamrey Main Do Hawa
Do Yaar Mere Khush Aur Do Khafa
Main Yario Mai Dekhta Ni Ho Nafa
Ab Tumhi Log Mere Baney Ho Gawah
Ab Tumhi Log Saath Mere Ho Sada
Do Dawa Zakhmi Inhey Do Dawa
Do Dafa Mujhpe Lag Chuki Do Dafa
Do Shaam Do Raat Aur Phir Do Subha
Duwa Bhara Kamrey Main Do Hawa
Do Yaar Mere Khush Aur Do Khafa
Main Yario Mai Dekhta Ni Ho Nafa
Ab Tumhi Log Mere Baney Ho Gawah
Ab Tumhi Log Saath Mere Ho Sada