The first single from Salar’s E.P ‘Dastak’. Salar talks about a taboo topic in Pakistani culture, a relationship with trust issues and openly narrates the subject’s past as the reason for it.
Kitni Raaton ko jaagoon
Milta na sakoon
Kis jagah tu hai khara
Kis se main poochoon
Kahan pe dastak doon
Koi raasta to dikha
Chahti hai mujhe par darti hai
Pichlay ko yaad karke marti hai
Mujh pe hai jitna shuk
Yeh to batayega waqt
Zakhm dikhaaye ga sub
Jism ko dafan woh karay
Mujhse woh kahay
Kya kare
Kaise lutaaye woh waqt
Waapis le aaye woh sub
Diya sub usne kisi ko
Bay hissy dekho
Usne macha diya shor
Kehta tum mujhse yeh seekho
Bistar mein theek ho
Do din mein agayi aur
Soti na raaton ko roti hai
Khud ko woh ganda samajhti hai
Kaise woh karay bharosa
Jo usne socha
Uska hai dil diya tor
Uss ne hain khud se jo kiye kuch vaaday iraaday
Na aata qareeb koi aur
Kitne bahanay bana ke anjaanon ne koshish ki uss pe kiya kitna zor
Itni hai oonchi deewaarein banayi par maine woh karni hai ab to paar
Tu kar aitbaar
Milta na sakoon
Kis jagah tu hai khara
Kis se main poochoon
Kahan pe dastak doon
Koi raasta to dikha
Rastay se bhatkay hain dono hum
Chahtay par kehte hain dono kum
Kis mein hai kitna dum
Yeh to bataye ga waqt
Zakhmon pe laga marham
Jism to khatam ho rahay
Par kis ko kahein
Kya kare
Kaise mitaaye woh ghum
Kaise mitaayein woh ghum
Mat sun inn logon ki baatein
Inki hai aadatein
Mujh pe hojaaye ga shuk
Shayad inn logon ki baatein
Badlein iraaday
Baby just don’t give a fuck
Agar tu mujhe aur jaane
Pyaar pehchane
Tujhe hojayega love
Mujhe tu andha dhund maan le
Thora aur jaan le
Khuda to sub ke paas hai
Pyaar woh ehsaas hai
Khuda ek ehsaas hai
Tu rooh ki pyaas hai
Dastak was written by Salar Shamas.
Dastak was produced by Walter Canton.
Salar Shamas released Dastak on Wed Jul 10 2019.