Bachpan mein cycle chor
Accha saaman apni cycle mein lagaake
Baaki cycle dete daldal mein chord
School mein haath chordne ki aukaat nahi thi kisime
Canteen ki line pe dhakka lagne pe he dete the naak phodte
Ke Chaar dost main, Usmaan, Peru aur saadik
Chaaro he sabki aankhon ka kaata
Par haath chordne ki toh baat dur
Maalum tha ki ghur ke dekhne pe huzoor ka chaata
Jeb mein 5 rupay, ek chota goldflake aur do radha
Ek din gher liya sabne milke
Fata eid ka naya kurta par firbhi na bhaaga
Wo gharpe maara lath
Baap ne kaha pitke gharpe aaya tujhe sharam na aai?
Main bola mard hain tera beta
Bohot pita par peeth na dikhai
Aur peeth dikhata bhi kaise
Warna naake pe khade ladke teri behno ko bhi chedte
Aaj ek ke dekhne pe dusra kehta hai farhan ki behen hai
Khaal kheech lega toh bhai rehn de
Aur aaj bhi wahi hu bahu shakal
Wahi masoom chehra aur paagal zehen hai
Wahi bhaad daud bhari zindagi Wahi maar peet
Kabhi haath aur kabhi pen se
Cycle Chor was written by Farhan Khan & Parth Mistry.
Cycle Chor was produced by Rhymix.
Farhan Khan released Cycle Chor on Wed Nov 10 2021.