Kahaaniyaan hazaar unmein ek meri bhi
Lada shikaayaton se sabne kaha deri ki
Dass jagah thhe paer mere haath bass ummeed thhi
Dost bhi thhe aise saale bole chalke w**d pee
Thoda sa jhoom lienge, haan bhai ghoom lienge
Sab hoke high ab bulandiyon ko choom lienge
Jisne di izzat usko pyaar beshumaar baaki gaali jo bhi dega
Usko lafzon se bhoon dienge
Pehli baar likha jab ex ko miss kiya
Doosri baar ek charsi ko diss kiya
Ho gaye thhe chaar saal mujhe off ab
Kiya comeback bole shen b ko miss kiya
Chal beta, teri baaton pe nahi mujhe zara bhi yakeen
Tu nikal beta, tere jaise apno se toh paraaye sahi
Chal beta, teri baaton pe nahi mujhe koi bhi yakeen
Tu nikal beta, tere jaise apno se toh paraaye sahi
Milte hain toh phir mooh pe salaam aur
Peeth peechhe jaate hi dete yeh gaali hain
Raat bhar sune jamke bohemia aur subah aake bolien
Zamaana hi jaali hai
Mujhe yaad hai haan kaun mere saath hai haan
Kaun pehle jalte thhe unko di maafi
Ab jo bhi baatien karte hi jaa rahe hain
Unke liye mera yeh verse hi kaafi…
Yeh khit pit karte pit pitke marr gaye
Ladh gaye yeh humse sadh gaye kyunki
Inse aagey jo badh gaye
Bina khuss phuss kare kuchh kuchh
Tarqeebien dein jo woh hain puraani
Bann jaaye kuchh banti kahaani
Tehraa thha phhod dega, maa kehti ab bann ja paani
Aise bahega poori duniya bahaa jaayega
Jisne di zillat usko dheere dheere khaa jaayega
Jo naa ladey haq ke liye uski tu zubaan bann
Aandhi hai duniya mere bete tu toofaan bann