Bholi Si Surat by Lata Mangeshkar (Ft. Udit Narayan)
Bholi Si Surat by Lata Mangeshkar (Ft. Udit Narayan)

Bholi Si Surat

Lata Mangeshkar & Udit Narayan * Track #2 On Dil To Pagal Hai

Bholi Si Surat Lyrics

Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye
Arre bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye aaye haaye
Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye

Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye aaye haaye
Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye
Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye

Ladki nahi hai woh jaadu hai aur kaha kya jaaye
Raat ko mere khwaab mein aayi
Woh zulfein bikhraye
Aankh khuli to dil chaaha
Phir neend mujhe aa jaaye
Bin dekhe yeh haal hua dekhoon to kya ho jaaye
Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye aaye haaye
Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye
Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye

Sawan ka pehla baadal uska kajal ban jaaye
Mauj uthe sagar mein jaise aise kadam uthaye
Rab ne jaane kis mitti se uske ang banaye
Chham se kash kahin se mere
Samne woh aa jaaye
Bholi si surat aankhon mein masti
Door khadi sharmaye aaye haaye
Ek jhalak dikhlaye kabhi
Kabhi anchal mein chhup jaaye aaye haaye
Meri nazar se tum dekho to yaar nazar woh aaye
Bholi si surat aankhon mein masti aaye haaye
Aaye haaye!

Bholi Si Surat Q&A

Who wrote Bholi Si Surat's ?

Bholi Si Surat was written by Anand Bakshi.

Your Gateway to High-Quality MP3, FLAC and Lyrics
DownloadMP3FLAC.com