Me hairan hoon aaj chup hai koi gila suna
Me wahin intezar me jahan
Mila tha na
Zabt hua jo tera dil jalane ka hunar
K kul mila k yaadon me tha
Paas tu gina chuna
Ab kya woh dilkashi se milna
Tak faraib tha
Tere agey dil dimagh mehez
Ek dher tha
Me nazrey pherta hoon tumse
Kya ghalat kiya, kya rab per chorhu sadqa doon jo
Teri kher ka
Khoon jalta hai saans jaati hai (yeah)
Karwatein badalte neend bhi kam aati hai (yeah)
Kesa ittefak hai, Mere hi kamre
Mein
K har ek cheez tera naam gungunati hai
Mera ishq na sahi
Mera bharam toh rakh Munh
Per ghair kehdia, Thorhi sharam toh rakh
Beshak dil na rakh per kam se
Kam qasam toh rakh Kuch banchuka hoon, sheher mе
Qadam toh rakh
Khoya mein hoon is tarah
Hosh na ho k kab hojaega
Dobara sawera
Dastak hui bеpanaah (Bepanaah)
Tera dil tha jo bangaya tha
Mera wahid basera
Tera hans kar taal dena
Mustaqil hua
Aur is qeher me sabse zyada zakhmi Dil hua
Phir yun hua k tere liye zinda
Rehgae
Kashish thi tumse woh kashish tum humse legae
I wrote a letter to myself
Khud par ghour kar k hont kaley, ankhein dhas rahi
Hein nendein rok kar
I miss the old me
Woh better kitna postive tha nature
Ab roz maatam hotay bedilli k sog per
Kis sog me hoon mubtila, abhi mara nahi hoon
Ab waqt toh hai sudharne ka
Per me wajah nahi dun
Is qadar me aadi tha tera toh pooch mat na
Me tabah tak hogya per mann bhara nahi kyun
Ab har khushi me besabab sa
Bangaya hoon Lagta tere dil mohalle me
Me kabka margaya hoon
Khaak hogaein hein woh
Tasveerein tum samet
Tum bhi ho kisi k me bhi kisi or ka hoon
Khoya me hoon is tarah
Hosh na ho k kab hojaega dobara sawera
Dastak hui bepanah
Tera dil tha jo bangaya tha
Mera wahid basera (basera)