[Verse 1: JJ47]
Duniya lagi hui eid ke mahol me
Ek hum jo teri deed ke mahol me
Kya kya likh deta hun neend ke mahol me
Mai aane ke liye raazi hun, mureed ke mahol me
Baitha rehta hun umeed ke mahol me
Tu paani tak ni puchti yazeed ke mahol me
Lage pade ab sangeet ke mahol me
Hum haarne ko raazi hai is jeet ke mahol me
Mai khud talash me mile mujh jaise log nahi
Mai ek bahar aur tu mausmo ko rok nahi
Tu ek pehar meri soch me sama hua
Mai likhun sher tujhe shaayri ka shauk nahi
Dekhu aaina toh hota hai malal mujhe
Wo mazi bane jinse puchna tha haal mujhe
Rabb ka waasta na mushkilo me daal mujhе
Soch kaidi banaye, aakar bahal mujhe
Kya kamaal mujhe, yе meri aajzi hai
Mai udu aasma pe, duniya meri kagzi hai
Tu soche baare mere munh pe anjaan bane
Mai sab jaan ke bhi chup, ye meri saadgi hai
Rakhti aage tere jo bhi murade hai
Tum bhi poori kaha ab, hum bhi tehre aadhe hai
Chand safo ki baat mukti muqate hai
Tum padhti nahi ho warna hum khuli kitaabein hai
Chize kaun si insaano se bachti hai
Doobne se dare wohi jiske paas kashti hai
Bewajah kin chizo me ulajhti hai
Aao baitho, saath piyo, weed tum pe janchti hai
[Chorus: Talhah Yunus]
Let me talk to ya
Drop like it's hot, baby lock me up
She got her legs around me, koi baat nahi ab
Hum kho chuke ek dusre me koi raaz nahi hai ab
Aate baaz nahi hai ab, yeah
Aate baaz nahi hai hum
Milte logo se mizaz nahi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab
Duniya jaane mere raaz bhi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab
[Verse 2: Talha Anjum]
J gawah, kalam utha yaar ke liye (Yeah)
De dawa, aaye hai ilaaj ke liye (Yeah, yeah)
Baad-e-saba chali muddato ke baad
Hum likh liya karte the geet intezaar ke liye
Rhymes jaati raiga ab (What)
Aur hum jaaye kaha ab
Maikade me mehtaab
The night is young (Young)
I drink the pain away jo rehta hai i’ll hide it (Yeah, yeah)
Jehni sukoon dhundhta hun, hope i find it (Hmm)
Too much on my plate, ye lines aline hai
Ladke bheje hate aur uthale chaar fayde
Khyali pulaav pe launde failaye raayte
You're married to the game par wo jaake baithi maike
Mai baitha sochu 'bout the impact, the influence (Yeah, yeah)
In sab me meri jhalak, mai sabse muqtalif (Sabse muqtalif)
Wo muhobbat me mubtala aur sunte mustakil
Hustle aur consistency pe careers ye mustamil (Facts, facts)
Kya aasan thi maut?
Kya ek umar thi ya bas ya ghum-e-shaam thi maut
Koi taruff hua ya fir gumnam thi maut (Gumnam)
Tum jeete ji mare toh wo to naam ki maut (Na)
Mere shehar me to ek waqt pe aam thi maut (Yeah)
Kala ko rulaaye, kalakaar ki maut (Yeah)
So my brothers ride with me while the safety’s off
Agar aa rahe ho this better be worth the 'cause (Worth the cause)
Wo dete kyun awaaj nahi ab (Nahi)
Dil bardasht tha, sirf udaas nahi hum (Nahi)
Tum ho yaad hume tumhe aate yaad nahi hum
Smoke trees poora din aate baaz nahi hum, yeah
[Chorus: Talhah Yunus]
Let me talk to ya
Drop like it's hot, baby lock me up
She got her legs around me, koi baat nahi ab
Hum kho chuke ek dusre me koi raaz nahi hai ab
Aate baaz nahi hai ab, yeah
Aate baaz nahi hai hum
Milte logo se mizaz nahi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab
Duniya jaane mere raaz bhi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab
BAAZ was written by JJ47 & Talha Anjum & Talhah Yunus.
BAAZ was produced by Jokhay.