[Intro: Music]
[Verse: Dakait Shaddy]
(yeah)
Hawalaat, ye karna chahein kaid mujhe (kaid mujhe)
Andhera hote hi, hojati meri hai subhe
Wo puchein mujhse, maut ka darr nahi hai tujhe (na)
Haddi ka pata nahi, ander hain 206 guddey (206 guddey)
Khaali galley, kahaan khushi ke hain khulley
Duniya wale mujhko lagte jaise draculey
Mujhko mere hi apno se karte hain door (door)
Apne kareebi ab bann chuke mere hain thulle
Tyre up karke niklun jab bhi main gali se (jab bhi)
Log kehte, tujhko milenge burey nateejay
Main sunke sochun, unke hote taane bhi ajeeb hain
Main aur mere bhai toh pehle din se hi they aise jeetay
Need ye speed hai
Aage mujhe harpal kheenche
Aedi zidd meri bann chuki dheet hai
Girkar hi toh milti hai seekhein (seekh)
Soti na neend hai
Mere gharwaalon ko kheej hai
Mere dil pe ye dukhti feel hai
Fir bhi hum kehte theek hai (theek)
Gharwale sochein ki ladka, haan poora barbaad hai (barbaad)
Apno ko dekhun toh dikhte, band horey darwaaze (band)
Logon ne hai hadd ki, haan inka bhi mujh par bhaar hai
Main wheelie par ye ghoorein mujhko jaise ugrawaad hai (ugrawaad)
Naseeb ye balwaan hai zindagi mein ghuskar maarey
Par upar us rab se na ki maine koi ardaas hai
Kyunki,raazi na neechay aane ko ye upar waale
Isliye tyre upar jaare
Do pahiyon ki super car hai
Bhookh hadtal hai, na poori hoti yahan maangein
Khoon ubal pe, junoon dooriyon ko laanghe
Sukoon na hai, apne phool hi bane kaante
Sath dene wale kam adate zada taangein (kyun?)
Par farak nahi, leke aata mai toh garaj nayi (garaj)
Buland hain hausale, zabaan pe koi agar nahi (na)
Thi baras rahi jo mushkilein, aaj hain sarak rahin
Na kiya suffer agar toh nahi wo safar sahi
Din raat ek, karte kaide mehnati
Khauf maut ka nahi, maut shauk banke hai bassi (yea)
Umeed logon se?
Apne bhi hain sehmat nahi
But the legacy running to me, I am making the new record see (see)
Sahi raaste pe, kal tak jo laapata they (laapata)
Shuruaat ho chuki na ruke kaarwaan ye
Tod bandishein awesh mujhse bole (bole)
Azaad sa tu panchhi
Ja udle aasmaan mein
[Chorus: Dakait Shaddy]
Jab bhi mann ye mera doobta udaasi mein
Junoon hi mera eklauta saathi hai
Mujhko thaame, bole bandishein tu tod
Udle uncha aaj teri azadi hai
Aaj meri azaadi hai, (ye junoon)
Yahi meri azaadi hai
Yahi meri azaadi hai
Meri azaadi hai
[Outro: Dakait Shaddy]
Bandishein na koi aaj
Ye meri azaadi hai
Haan ye meri azaadi hai
AZADI was written by DAKAIT SHADDY.
AZADI was produced by DAKAIT SHADDY.
DAKAIT SHADDY released AZADI on Sat May 12 2018.