Alfazo se mere Tu takkar Mat le
In irado ki manzil pe Tu ab hasle
In raston ke liye tu bahaen kasle
Is dil meh ye andhi hai roki kabse
Haan
Sabr ki baat hai
Anginat raat hain
Chupi pe thi ye dil meh lekin aaj mulakat hai
Afsos ki na baat
Ruthi thi kalam lekin aaj bhi mere sath
Mere hath meh ye Khoti in lakkiro meh
Bakaam ki woh battein in fakiro meh
Teri aankhein jo na dekhe kya woh Sach nahi
Teri baatein sirf kaagaz par kyun saj rahin
Ab Baj rahin ye, tere kaano meh
Tumhe himmat milti agar mere gaano meh
Insaan Hun meh, Dil pe vash nahi
Apne dar ko jalake kar Roshni
Tere sapne nahi ye toh hakikat hai
Tere irado ki choti is keemat hai
Ki Tu sarhad ko todke
Apne Kadam aage bada , Tu na seemit hai
Log bolenge tere iraade hai chote
Par manzil dhundoge jAb tum ho khote
Khona toh padega , shor ko sahega
Uchaio me inme se koi ni rahega
Haan
Bas yaad Rakh , jAb shishe meh Tu dekhe
Maa ko Naaz ho , is insaan ko leke
In raazo se apni kabr Tu banayega
Sach bolega phir bhi jhoota kehlayega
Koshish , hai jaari , Hari baazi nahi ab humko hai
Gawari
Raazi nahi toh kya ,ab ye sawari
Rukegi sirf apni manzil pe sari
Haan
Bachpan se jhele Sitam hai, tere mere zindagi me ek
Hi villain
Shataan tere manke andar baitha
Uska Roku mai kaise
Par tujhme utna to dam hai
Alfazo se mere Tu takkar Tum aaj
In irado ki manzil pe Tu ab tum aaj
In raston ke liye tu bahaen kasle
Is dil meh ye andhi hai roki kabse
Haan paayon thake , lekin abhi toh daur baaki
Thodi Saas ki kami , lekin ek hi kaafi hai
Gir raha aasma se , par mai nahi paani
Mai is kitaab meh kahani , jo tumne nahi maani
Asaani ne mujhe ye de rahe dhoka
Par haar ke dar me mujhe kabhi nahi roka
Tere punche Kaam na aaye
Jaise ,mai Mohammad Ali
Bole khel meh naya ,ye toh aaya Kal hi
Haan aaya Kal hi , tere ankhon ke saamne
Bachpan se alfaaz aate mujhko thamne
Jabhi dooba sagar meh mujhe pukarte
Salo se ye dil ki gehrayi ko naapte
Haan
Tu soche meri baski nai hai
Haan
Seema pe mera Haq hi nai hai
Haan
Dheema dil , koi shaq hi nahi hai
Haan
In gaano meh koi farak hi nahi hai
Ye gaana nahi , ek khat hai
Ab aaya Wahi wakt hai
Tum sochoge kahan se aaya ye kambakhat hai
Magar Kadar sabki Karte, ye toh bachpan se Sikha
Apne Khud ka flavour Lao warna Khanna pada
Pheeka
Thand meh apne man me, jo bhi alfaaz aate , raaz
Aate
Ye tufaan unhe Kahin aur baat aate ,raat aate
Hi mujhe gher lete sapne , jo kabhi the apne
Par rabne bola ki , inko Mat de Tu dabne
Sabne kahan , go and chase your dreams
There’s a place out there that will hear your screams
Par keemat in sapno ki kya , hum nahi laaye
Inka matlab hi kya jab sath nahi bhai
, sath na nibhaye, Maine saal hain bitaeye
Khud se ladkar , Maine barkar , rishte mittaye
Aakhri panti meh , kuch meetha , ye lo methai
Dar ko nahi , Aandhi ko hum dil meh betthaye
Alfazo se mere Tu takkar mat le
In irado ke manzil par Tu ab hasle
In rasto ke liye Tu baahein kasle
Is dil meh ye aandhi thi roki kabse
Alfaaz was written by Void (Band).
Alfaaz was produced by Exult Yowl.
Void (Band) released Alfaaz on Tue Aug 14 2018.