[Intro]
37 Kya?
[Verse 1]
Mumbai 400037 pin code mera
Road pe aake puch mera pata koi bhi chod dega ghar tak mere
Jo ki kalpak mei hai aake dastak toh de
Mera mastak wala gussa seedha nastak mere
Antophill ka mei,yaha aade wali public rehti bhade wale ghar mei
Paise wali public rehti bade wale ghar mei
Mara piti kare toh fir ek pair kabar mei
Bache bane baap yaha choti si umaar mei
Mei bhi iss area mei bachpan se rehra hu
Aaj hu andhera par kal ka savera hu
Janam liya meine 1995 mei, parivar meri jeene lagi bure time me
Khoti kismat bachpan se hi mere peeche charge hai
Kisi ko na batana kyuki yeh mera raaz hai
Ilaaj hai kya iska kisi ke pass
Kese mei khaas paise honge toh fir ghisenge ghass
Yehi hora hai waha bacha dudh ke liye rora hai
Gandhi jiske pass hai woh santulan khora hai
One two one hora hai bachkano ke bech mei
Public jama hoke dekhe kitni badi neech hai de kheech ke
[Chorus]
Aisa kuch shot nai hai
Ameer baap ka beta mei, Aisa kuch shot nai hai
Meri zindagi maze mei, Aisa kuch shot nai hai
Chote teri agli meri, Aisa kuch shot nai hai
Har baat pe kahu mei, Aisa kuch shot nai hai
Ameer baap ka beta mei, Aisa kuch shot nai hai
Meri zindagi maze mei, Aisa kuch shot nai hai
Chote teri agli meri, Aisa kuch shot nai hai
[Verse 2]
Andhar ki meri aatma kardegi tera khatma
Mere sirpe mere baap maa ka haath hai
Tu sath mei samay bitake dekh mere
Sath aake beth mere theke pe anek mere dost sabka nek dil
Nek kaam karne wale logo ko full ek number
Fake kaam karne wale seedha jama 100 number
Sou ki patti dikhake bhujade laal batti
No galat hai teri soch uspe daal mitti
Paan patti wala kamane laga zyada
Jiski qualification pucho toh padha likha adha
Udhar pappa bole beta ja pariksha pe dhyan de
But beta kya karra hai pratiksha ko rikshaw mei
De rha hai shiksha bohot hard
Bohot hard tha physics aur maths pass karna
Hath mei tha question paper aankh mei tha jharna aasu ke
Tension ye tha pass hu ke fail hu
Baaju ke log puche kya hai result le beta baravi fail
Le laga navratna tel meri zindagi ek Khel ki tarah
Mujhe baat leke pelne lagi hai jisse jhelne laga hu mei
Dheere dheere india mei felne laga hu mei
Na koi record label mere pas
Pass hota nahi mera koi kaam
Kaam jo bhi karu mei uska anjaam flop hai
Fir bhi tera bhai sabse top hai
Kyuki Saare rappers ek taraf aur mei ek taraf
Main bana hu Modi aur woh bane hai musharaf
Abe kyu sharam chup ho ja be besharam
Tum sare ho kaccha chana aur mei chana jor garam
Thug wali zindagi ko haqse hum jeete hai
Aade fatne wale ke pechuwade ko seete hai
Peete hai bevde hamare ilake mei biwi se karenge lafda
Fir soote hai naake pe
Ah yeh duniya ek dikhawat hai
Yaha har cheez mei milawat hai
Shaadi hove toh dawat hai
Yaha sabka bhala hoga yeh sirf ek kahawat haa
Sahi hai teko lage lekin aisa woh nai hai
Dudh mei nimbu nichode toh banjata dahi hai
Sarkar apni badli lekin halate wahi hai
Ache din aayenge aisa kuch shot nai hai
[Chorus]
Aisa Aisa kuch shot nai hai
Ameer baap ka beta mei, Aisa kuch shot nai hai
Meri zindagi maze mei, Aisa kuch shot nai hai
Chote teri agli meri, Aisa kuch shot nai hai
Har baat pe kahu mei, Aisa kuch shot nai hai
Ameer baap ka beta mei, Aisa kuch shot nai hai
Meri zindagi maze mei, Aisa kuch shot nai hai
Chote teri agli meri Aisa kuch shot nai hai
Aisa kuch shot nai hai
Aisa Kuch Shot Nahi Hai was written by Emiway Bantai.
Aisa Kuch Shot Nahi Hai was produced by Emiway Bantai.
Emiway Bantai released Aisa Kuch Shot Nahi Hai on Thu May 26 2016.