Verse 1
Ann ha to meri
Chal rahi thi zindagi, na tha kuch chahata
Rab karega mera sab, bharose uske raah ka
Zindagi ki school me, dekha jo maine hadasa
Samajh ke tab se bann gaya, khuda mai apne aap ka
Na deta koi saath, bas ye de sakhe salahe
Kare vo muh se bat Asal me fatake haat aaye
Safalta milti usko, jisne zayda chot khaye
Thana hai vo pana ab, chahe khuda bhi aade aaye
Ha kar tu paae, badal tu teri soch ko
Galat sangat se dur ho, alag jeewan tu khoj toh
Gyaan hi upay hai kar zindagi ka crash course
Gyaan hi kare teri suraksha jaise Manforce
Darr hai shaitaan, iraade pakke kar ke maro
Rakho mann dil ko saaf, to paoo khud me dham charo
Alfaaz se hu, devdas gyan meri paaro
Inspire karake thoku, paida mujh se ho hazaaron
Hook
Ab jo aaya mai, badal du mausam
Alfaazo se mere macha du mai to aatank
Rahe bhatakne walon ab manao maatham
Karu vishay khatam, machadu mai to aatank [x2]
Verse 2
Khelata hu khel, vo jo khel me mai haru
Jeeta toh nah mile chunouti, har hi swikaaru
Haar se bana mai dheet, jeet sambhav sa
Par hai mere pass dhan aaj anubhav ka
Jo chahu, vo pau, na ab toh maanu haar
Tu karta badbad, toh summ me karta mai bhi vaar
Shakal ko chod akal hai mera tikshn hatiyar
Vicharo ka hai karobar, Chanakya mera rishtedaar
Vichar barkarar, yuva pidhi ka hu mai sant
Ha mar bhi jau, par vicharon ko na mere anth
Vicharvant insaniyat hi dharm panth
Ha kahete mujh ko, aantar maidaniya kalavant
Chalta seena taan ke, aas na aaram ki
Hatake du mai chatake, karake parwa na hai jaan ki
Gaata hoon toh laata hoon, mai sabake dilon me aandhi
Chillata raja bheed ka, fir bhi mai chahu shanti
Hook
Ab jo aaya mai, badal du mausam
Alfaazo se mere macha du mai to aatank
Rahe bhatakne walon ab manao maatham
Karu vishay khatam, machadu mai to aatank [x3]
Aatank was produced by Aniruddha Das (Dr. Das).