[Intro: Big Scratch]
Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
Uh, yeah
[Verse 1: Big Scratch]
Mara mari, yeh toh pagalo ka daur nikla
Kamyabi tole kisko kisse khauf kitna
Kya zara si kardi kalko maine galti
Ki sunli apne dil ki?
Ab toh har taraf hai raub dikhta
Was born different, par sehlu isko aur kitna?
Locked in my mind's prison, main born sinner
Cole taught me we choose from what we are given
But please God forgive me, agli baar nahi pyaar chunna
Kya hi karta, jaisa dekha waisa seekhta tha
Nanhe paudhe ko zeher bhi dedo kheench jaata
Aur main toh beta hu us baap ka
Jo la deta khilaune har uss shaam jabki daantna ya peetna tha
Jitna jeeta utni zindagi se aati ghinn
I'm not suicidal, bas khulke kehdi baat dil ki
Suna mere sheher mein nafraton ka trend chala hai
Somеbody dissed me, I wished him wеll and paid a bill
Kash (Kash, kash, kash, kash) inme akal hoti zara si
Dilon mein khot, maila hai paani vichaaron ka
Aks na dikhe zara bhi
Noton mein dhundte fire azaadi
Shaitaan dimaag pe haavi
Sabhi ke aakhon mein lage hai taale
Andhero mein dhundtefire yeh chaabhi
I got a question
Chaabhi toh ek nahi, chaabhi anek hai
Why do they feed on their family?
Killing to prosper, selling their dream
I sit and I ponder, sabhi toh vehem hai
I'm praying to God tu dikha de raasta
Utha de neend se hamein we live in a dream
Ho bhale ishaare peeche, uh
Mera yeh sheher hai khwaabon ka kaatil
Hath range huwe laal
Kalam uthake rakha maine panno pe
Yeh sapne huwe sakaar
Yaha zameen ko khodoge aaj, milenge artist dafan hazaar
Likha yeh gaana unhi ke khaatir
Bhale hi cheen lo mere se saans
Jaan lele kalakaar ki
Yeh kalah toh aati nahi baaz
Likhe hai gaane 5-we class se
Haar nahi mana main aaj bhi, I done survived this shit for a while
Aaj huwa poora 21-wa saal
Gote lagadi iraado mein, kinaron ki na talash
[Chorus: Big Scratch]
Apne gam se mera apna gehra naata
Kehna chahta par shayari likh jaata hu
Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
Apne gam se mera apna gehra naata
Kehna chahta par shayari likh jaata hu
Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
[Verse 2: Sunny Khan Durrani]
Ye us likhaari ko jis ke ghar me chaltay faakay
Wo ab nai toota, kalaa se umeed baandhe
Ye us likhaari ko jo asool toray dunya ke
Seena rakhay chora kahe, "Teri deals nahi chaiye"
Ye us likhaari ke liye jo tasveerain khenchta
Ye us likhaari ke liye jo rooh nahi bechta
Jisse ke nahi chaiye teri nokri hazaaro ki
Wo daakhil hona chahta
Mehfil me kalaakaron ki
Ye us ke liye jo haar nahi maanta
Jo dekhta nahi dusron ko apni jaghan jaanta
Khuddaar wo, wo dhool nahi chaat'ta
Hawaa ka rukh dekh ke us rukh me ni bhaagta
Wo maangta hai izzat, tumse maangta nai note wo ye
Ye binti hai meri kalakaar ko izzat do
Likhta fasaane jese harf ki rawaani
Shaayar hote saare faani reh jaati bas kahaani
Uski rooh na jaane kis sheher me choot gai
Apna shaoor apni aqal usse loot gai
Zaahir aur baatin me uske nai parda
Dunya se be-khof wo bas khud se hi darta
Wo tor chuke kitne hi rishte o naate
Wo chahta nai log jo na usse samajh paate
Wo rakhta hai yaad har zakham ke naqqaash ko
Daagh hain siyaahi ke par dil ka hai saaf wo
Farishta nahi usne shetaan sang tori roti
Usse tere-mere jese baton ki na fikar hoti
Dost hai khuda ka, wo shetaan se bhi batain karay
Kalakaar, ham jese na wo faraq karay
Khol deta saamne dunya ke kul-kamaai
Usse sikkon ki khannak kabhi raas na aai
Par kya kare? Wo bhi dunya se pareshaan, wo
Rok lete jaghan jaghan jaibain iski chaan lo
Dekho kya hai is ki qaddar lage kitna bhaao iska?
Kheencho iska chamra chun chun ke hunnar khao iska
Zinda nahi chorna ye kese hamse mukhtalif
Wo apni kahaani ke unwaan leta khud hi likh
Wo jaanta wo gir raha hai gardish ke mukhaalif
Wo janta wo mar raha
To kaffan rakhay sath me
Tum daal dena mitti
Uski bechaini ko yun raahat bhi nahi milni
Usne aas paas walon ke khwaabon ka kiya khoon
To tum pe bhi waajib ke cheeno uska sakoon
Usey taang do saleebon pe
Ya chowk me hi chor do
Ke tum sab ek jese
Bas ek hi tha faasadi wo
Shaoor aur aqal jesi ghatiya karta batain
Uske ghar walon se kaho ke boriya bistra baandhay
Tum aman ke rakhwale unhe choro ge nahi sheher me
Tum maar doge Bullah ya Mashaal phenko neher me
Jab aajae selaab tere ghaar ki dehleez pe
To kaho, "Haara kalaakaar aur dunya ye jeet gai"
Par andar hi andar ye tu bhi hai waakif
Ke tere jese log hi ye sheher dubaa gaye
Laanat hai
[Chorus: Big Scratch]
Apne gam se mera apna gehra naata (Laanat hai)
Kehna chahta par shayari likh jaata hu
Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
Apne gam se mera apna gehra naata
Kehna chahta par shayari likh jaata hu
Asoolon se khafa, main rakhta ek iraada
Sar pe chhat ho, main khulke jeena chahta hu
Iraade was written by Sunny Khan Durrani & Big Scratch.
Iraade was produced by ThatKidGoran.
Big Scratch released Iraade on Fri May 21 2021.